Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

talKHi-e-haalat-e-dauran ka bayan hai zindagi

Mahesh Chandra Naqsh

talKHi-e-haalat-e-dauran ka bayan hai zindagi

Mahesh Chandra Naqsh

MORE BYMahesh Chandra Naqsh

    talḳhī-e-hālāt-e-daurāñ bayāñ hai zindagī

    dard-o-ġham ik musalsal dāstāñ hai zindagī

    allāh allāh ye safar ye raah ye dushvāriyāñ

    vaqt ke shānoñ pe ik bār-e-girāñ hai zindagī

    jin halchal meñ hai tūfānī havāoñ ḳharosh

    un taḌaptī ārzūoñ jahāñ hai zindagī

    shiddat-e-ehsās-e-nākāmī ātish-gāh se

    ḳhirman-e-jazbāt par shola-fishāñ hai zindagī

    hai kise ab zindagī ke dard-e-pinhāñ ḳhabar

    apnī barbādī ḳhud rāz-dāñ hai zindagī

    ye umīdoñ chaman hai rashk-e-sad husn-e-chaman

    is chaman ik bahār-e-jāvedāñ hai zindagī

    hai usī ke nuur se tābānī-e-kaun-o-makāñ

    zulmat-e-bazm-e-jahāñ meñ zau-fishāñ hai zindagī

    us marzī par hai har qaid o rihā.ī munhasir

    ḳhud qafas hai aur ḳhud āshiyāñ hai zindagī

    'naqsh' dard-e-qaum hai qalb o jigar meñ shola-zan

    jazba-e-ahl-e-vatan tarjumāñ hai zindagī

    talKHi-e-haalat-e-dauran ka bayan hai zindagi

    dard-o-gham ki ek musalsal dastan hai zindagi

    allah allah ye safar ye rah ye dushwariyan

    waqt ke shanon pe ek bar-e-giran hai zindagi

    jin ki halchal mein hai tufani hawaon ka KHarosh

    un taDapti aarzuon ka jahan hai zindagi

    shiddat-e-ehsas-e-nakaami ki aatish-gah se

    KHirman-e-jazbaat par shola-fishan hai zindagi

    hai kise ab zindagi ke dard-e-pinhan ki KHabar

    apni barbaadi ki KHud hi raaz-dan hai zindagi

    ye umidon ka chaman hai rashk-e-sad husn-e-chaman

    is chaman ki ek bahaar-e-jawedan hai zindagi

    hai usi ke nur se tabani-e-kaun-o-makan

    zulmat-e-bazm-e-jahan mein zau-fishan hai zindagi

    us ki marzi par hai har qaid o rihai munhasir

    KHud qafas hai aur KHud hi aashiyan hai zindagi

    'naqsh' dard-e-qaum hai qalb o jigar mein shola-zan

    jazba-e-ahl-e-watan ki tarjuman hai zindagi

    Source:

    Andaaz (Pg. 101)

    • Author: Mahesh Chandr Naqsh
      • Edition: 1962
      • Publisher: Sangam Kitab Ghar,  Delhi
      • Year of Publication: 1962
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now