Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

tamam jism hi ghayal tha ghaw aisa tha

Krishn Bihari Noor

tamam jism hi ghayal tha ghaw aisa tha

Krishn Bihari Noor

MORE BYKrishn Bihari Noor

    tamām jism ghāyal thā ghaav aisā thā

    koī na jaan sakā rakh-rakhāo kaisā thā

    bas ik kahānī huī ye paḌāv aisā thā

    mirī chitā bhī manzar alaav aisā thā

    vo ham ko dekhtā rahtā thā ham taraste the

    hamārī chhat se vahāñ tak dikhāv aisā thā

    kuchh aisī sāñseñ bhī lenā paḌīñ jo bojhal thiiñ

    havā chāroñ taraf se dabāv aisā thā

    ḳharīdte to ḳharīdār ḳhud bhī bik jaate

    tape hue khare sone bhaav aisā thā

    haiñ dā.ere meñ qadam ye na ho sakā mahsūs

    rah-e-hayāt meñ yaaro ghumāo aisā thā

    koī Thahar na sakā maut ke samundar tak

    hayāt aisī nadī thī bahāv aisā thā

    bas us maañg meñ sindūr bhar ke lauT aa.e

    hamāre agle janam chunāv aisā thā

    phir is ke ba.ad jhuke to jhuke ḳhudā taraf

    tumhārī samt hamārā jhukāv aisā thā

    vo jis ḳhuun thā vo bhī shanāḳht kar na sakā

    hatheliyoñ pe lahū rachāv aisā thā

    zabāñ se kuchh na kahūñgā ġhazal ye hāzir hai

    dimāġh meñ ka.ī din se tanāv aisā thā

    fareb de gayā 'nūr' us nazar ḳhulūs

    fareb khā gayā maiñ subhāv aisā thā

    tamam jism hi ghayal tha ghaw aisa tha

    koi na jaan saka rakh-rakhao kaisa tha

    bas ek kahani hui ye paDaw aisa tha

    meri chita ka bhi manzar alaw aisa tha

    wo hum ko dekhta rahta tha hum taraste the

    hamari chhat se wahan tak dikhaw aisa tha

    kuchh aisi sansen bhi lena paDin jo bojhal thin

    hawa ka chaaron taraf se dabaw aisa tha

    KHaridte to KHaridar KHud bhi bik jate

    tape hue khare sone ka bhaw aisa tha

    hain daere mein qadam ye na ho saka mahsus

    rah-e-hayat mein yaro ghumao aisa tha

    koi Thahar na saka maut ke samundar tak

    hayat aisi nadi thi bahaw aisa tha

    bas us ki mang mein sindur bhar ke lauT aae

    hamare agle janam ka chunaw aisa tha

    phir is ke baad jhuke to jhuke KHuda ki taraf

    tumhaari samt hamara jhukaw aisa tha

    wo jis ka KHun tha wo bhi shanaKHt kar na saka

    hatheliyon pe lahu ka rachaw aisa tha

    zaban se kuchh na kahunga ghazal ye hazir hai

    dimagh mein kai din se tanaw aisa tha

    fareb de hi gaya 'nur' us nazar ka KHulus

    fareb kha hi gaya main subhaw aisa tha

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now