Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

tamam KHushiyan tamam sapne hum ek duje ke nam kar ke

Shamshad shaad

tamam KHushiyan tamam sapne hum ek duje ke nam kar ke

Shamshad shaad

MORE BYShamshad shaad

    tamām ḳhushiyāñ tamām sapne ham ek duuje ke naam kar ke

    nibhā.eñ ulfat saarī rasmeñ vafāoñ ehtimām kar ke

    na duur dil se kabhī jaanā dil-o-jigar meñ maqām kar ke

    piyāla-e-ishq ulaT na denā ai sāqiyā mai-ba-jām kar ke

    rahī na mujh meñ sakat zarā bhī ki zulm tere sahūñ musalsal

    milegā kyā tujh ko ai sitamgar ġhamoñ yuuñ azhdahām kar ke

    maiñ in nazroñ ke tiir khā kar taḌap rahā huuñ yahāñ pe lekin

    vo kitne be-fikr lag rahe haiñ sukūn merā harām kar ke

    miTānī hai jo diloñ duurī to falsafa hai ye āzmūda

    charāġh-e-ulfat jalā.eñ ham tum diloñ nafrat ko raam kar ke

    masarratoñ ke husūl hai jahāñ meñ bas ik yahī tarīqa

    ki sādgī se nibāh kar lo talab ke jin ko ġhulām kar ke

    jahān-e-dil is iztirārī se bāhar aa kar chalo chaleñ 'shād'

    ḳhushī mahfil ko phir sajā.eñ udāsiyoñ ko harām kar ke

    tamam KHushiyan tamam sapne hum ek duje ke nam kar ke

    nibhaen ulfat ki sari rasmen wafaon ka ehtimam kar ke

    na dur dil se kabhi tu jaana dil-o-jigar mein maqam kar ke

    piyala-e-ishq ulaT na dena ai saqiya mai-ba-jam kar ke

    rahi na mujh mein sakat zara bhi ki zulm tere sahun musalsal

    milega kya tujh ko ai sitamgar ghamon ka yun azhdaham kar ke

    main in ki nazron ke tir kha kar taDap raha hun yahan pe lekin

    wo kitne be-fikr lag rahe hain sukun mera haram kar ke

    miTani hai jo dilon ki duri to falsafa hai ye aazmuda

    charagh-e-ulfat jalaen hum tum dilon ki nafrat ko ram kar ke

    masarraton ke husul ka hai jahan mein bas ek yahi tariqa

    ki sadgi se nibah kar lo talab ke jin ko ghulam kar ke

    jahan-e-dil ki is iztirari se bahar aa kar chalo chalen 'shad'

    KHushi ki mahfil ko phir sajaen udasiyon ko haram kar ke

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now