Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

tamam shahr to be-mehr nind so raha tha

Jabbar Wasif

tamam shahr to be-mehr nind so raha tha

Jabbar Wasif

MORE BYJabbar Wasif

    tamām shahr to be-mehr niiñd so rahā thā

    magar maiñ āñkhoñ meñ nok-e-qalam chubho rahā thā

    maiñ jāntā thā mire ashk marne vaale haiñ

    maiñ jāntā thā ki jo mere saath ho rahā thā

    mujhe ḳhabar nahīñ kab āñsuon ko hosh aayā

    ḳhabar huī to maiñ zār-o-qatār ro rahā thā

    kuchh is liye bhī ḳhudā mujhe zarūrat thī

    maiñ apne khet meñ gandum ke biij bo rahā thā

    ḳhayāl aayā mujhe jab ḳhudā badalne

    maiñ apne ashkoñ se harf-e-duā bhigo rahā thā

    mujhe jagā diyā jab fajr ke muazzin ne

    darūn-e-ḳhvāb maiñ masjid sahn dho rahā thā

    samajh rahā thā jise maiñ bhī nuuh kashtī

    usī nāḳhudā logoñ ko ab Dubo rahā thā

    thā bā-nasīb bhī aur bad-nasīb bhī 'vāsif'

    jo rahā thā kisī ko kisī ko kho rahā thā

    tamam shahr to be-mehr nind so raha tha

    magar main aankhon mein nok-e-qalam chubho raha tha

    main jaanta tha mere ashk marne wale hain

    main jaanta tha ki jo mere sath ho raha tha

    mujhe KHabar nahin kab aansuon ko hosh aaya

    KHabar hui to main zar-o-qatar ro raha tha

    kuchh is liye bhi KHuda ki mujhe zarurat thi

    main apne khet mein gandum ke bij bo raha tha

    KHayal aaya mujhe jab KHuda badalne ka

    main apne ashkon se harf-e-dua bhigo raha tha

    mujhe jaga diya jab fajr ke muazzin ne

    darun-e-KHwab main masjid ka sahn dho raha tha

    samajh raha tha jise main bhi nuh ki kashti

    usi ka naKHuda logon ko ab Dubo raha tha

    tha ba-nasib bhi aur bad-nasib bhi 'wasif'

    jo pa raha tha kisi ko kisi ko kho raha tha

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now