Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

tamam-tar usi KHana-KHarab jaisa hai

Qateel Shifai

tamam-tar usi KHana-KHarab jaisa hai

Qateel Shifai

MORE BYQateel Shifai

    tamām-tar usī ḳhāna-ḳharāb jaisā hai

    mire lahū nasha bhī sharāb jaisā hai

    nahā rahā huuñ maiñ us ke badan kirnoñ meñ

    vo aadmī hai magar māhtāb jaisā hai

    karūñ talāsh javāhar to ret haath aa.e

    samundaroñ chalan bhī sarāb jaisā hai

    jalā gayā mujhe apne badan ThanDak se

    vo jis rañg dahakte gulāb jaisā hai

    'qatīl' kām-o-dahan apnā saath deñ ki na deñ

    vafā zā.iqa lekin shabāb jaisā hai

    tamam-tar usi KHana-KHarab jaisa hai

    mere lahu ka nasha bhi sharab jaisa hai

    naha raha hun main us ke badan ki kirnon mein

    wo aadmi hai magar mahtab jaisa hai

    karun talash jawahar to ret hath aae

    samundaron ka chalan bhi sarab jaisa hai

    jala gaya mujhe apne badan ki ThanDak se

    wo jis ka rang dahakte gulab jaisa hai

    'qatil' kaam-o-dahan apna sath den ki na den

    wafa ka zaiqa lekin shabab jaisa hai

    Source:

    Kalam Qateel Shifai (Pg. 138)

    • Author: Qateel Shifai
      • Edition: 2011
      • Publisher: Farid Book Depot Pvt. Ltd
      • Year of Publication: 2011
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now