tamam umr yahi aarzu kiye jao
tamām 'umr yahī aarzū kiye jaao
mile vo yā na mile justujū kiye jaao
nahīñ surūr to yād-e-surūr kyā kam hai
tum aaj zikr-e-sharāb-o-subū kiye jaao
yaqīñ karo ki milegī zarūr manzil-e-dost
magar ye shart bhī hai justujū kiye jaao
kisī kī shoḳh nazar se nazar jo mil jaa.e
zabāñ ḳhamosh rahe guftugū kiye jaao
farishte rashk kareñge falak pe ai 'sajjād'
tum apne dāman-e-tar se vuzū kiye jaao
tamam 'umr yahi aarzu kiye jao
mile wo ya na mile justuju kiye jao
nahin surur to yaad-e-surur kya kam hai
tum aaj zikr-e-sharab-o-subu kiye jao
yaqin karo ki milegi zarur manzil-e-dost
magar ye shart bhi hai justuju kiye jao
kisi ki shoKH nazar se nazar jo mil jae
zaban KHamosh rahe guftugu kiye jao
farishte rashk karenge falak pe ai 'sajjad'
tum apne daman-e-tar se wuzu kiye jao
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.