Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

tamkanat ka zawal ho to sahi

Syed Muzaffar Ahmad Ziya

tamkanat ka zawal ho to sahi

Syed Muzaffar Ahmad Ziya

MORE BYSyed Muzaffar Ahmad Ziya

    tamkanat zavāl ho to sahī

    māh-e-kāmil hilāl ho to sahī

    rad hamārā savāl ho to sahī

    ye kisī meñ majāl ho to sahī

    ghar to kyā shahr chhoḌ saktā huuñ

    pahle jiinā vabāl ho to sahī

    jur.at-e-arz-e-hāl hai to magar

    fursat-e-arz-e-hāl ho to sahī

    ham bhī kuchh apnī raa.e pesh kareñ

    guftugū-e-jamāl ho to sahī

    ḳhushk ho kar bhī lab shagufta haiñ

    tishnagī meñ kamāl ho to sahī

    tamkanat ka zawal ho to sahi

    mah-e-kaamil hilal ho to sahi

    rad hamara sawal ho to sahi

    ye kisi mein majal ho to sahi

    ghar to kya shahr chhoD sakta hun

    pahle jina wabaal ho to sahi

    jurat-e-arz-e-haal hai to magar

    fursat-e-arz-e-haal ho to sahi

    hum bhi kuchh apni rae pesh karen

    guftugu-e-jamal ho to sahi

    KHushk ho kar bhi lab shagufta hain

    tishnagi mein kamal ho to sahi

    Source:

    Kaghazi Hai Pairahan (Pg. 143)

    • Author: Syed Muzaffar Ahmad Ziya
      • Publisher: Maktaba Mumtaz, Karachi
      • Year of Publication: 1989
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now