Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

tang-dasti mein karo logo guzara dekh kar

Naved Anjum

tang-dasti mein karo logo guzara dekh kar

Naved Anjum

MORE BYNaved Anjum

    tang-dastī meñ karo logo guzārā dekh kar

    apnī nīñdeñ mat uḌaao ḳhvāb mahñgā dekh kar

    naam se mere nagar meñ ik mohalla dekh kar

    merā dushman mar na jaa.e mujh ko zinda dekh kar

    yaad aa.e us ghaḌī apne gharoñ ke rāste

    be-tahāsha thak ga.e jab log mela dekh kar

    kyā ḳhabar thī apne hāthoñ se maarā jā.egā

    kal batā detā thā jo hāthoñ rekhā dekh kar

    rāste meñ nā-murādoñ ne añdherā kar diyā

    ik badan ke saath kuchh sāyoñ ko chaltā dekh kar

    yuuñ to munsif par mujhe puurā bharosā hai magar

    achchhe achchhe Dagmagā jaate haiñ paisa dekh kar

    tang-dasti mein karo logo guzara dekh kar

    apni ninden mat uDao KHwab mahnga dekh kar

    nam se mere nagar mein ek mohalla dekh kar

    mera dushman mar na jae mujh ko zinda dekh kar

    yaad aae us ghaDi apne gharon ke raste

    be-tahasha thak gae jab log mela dekh kar

    kya KHabar thi apne hi hathon se mara jaega

    kal bata deta tha jo hathon ki rekha dekh kar

    raste mein na-muradon ne andhera kar diya

    ek badan ke sath kuchh sayon ko chalta dekh kar

    yun to munsif par mujhe pura bharosa hai magar

    achchhe achchhe Dagmaga jate hain paisa dekh kar

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now