Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

tanhai ke shoalon pe machalne ke liye tha

Saif Zulfi

tanhai ke shoalon pe machalne ke liye tha

Saif Zulfi

MORE BYSaif Zulfi

    tanhā.ī ke sho.aloñ pe machalne ke liye thā

    kyā mujh javāñ aag meñ jalne ke liye thā

    kyā kātib-e-taqdīr se zaḳhmoñ shikāyat

    jo tiir thā tarkash meñ so chalne ke liye thā

    jaltā hai mire dil meñ paḌā daaġh sūrat

    jo chāñd sar-e-arsh nikalne ke liye thā

    is jhiil meñ tujh se bhī koī lahr na uThī

    aur mirī taqdīr badalne ke liye thā

    māyūs na aa ġham-e-daurāñ mire nazdīk

    mirī bāñhoñ meñ machalne ke liye thā

    ye Dastī huī raat guzar jā.egī yaaro

    vo hañstā huā din bhī to Dhalne ke liye thā

    kuchh aañch mire lams garmī se bhī pahuñchī

    vo barf paikar bhī pighalne ke liye thā

    tafrīq ne mulkoñ tarāshe haiñ aqā.ed

    insān bas ik raah pe chalne ke liye thā

    zinda hai mirī fikr mire karb se 'zulfī'

    ye phuul isī shāḳh pe phalne ke liye thā

    tanhai ke shoalon pe machalne ke liye tha

    kya mujh sa jawan aag mein jalne ke liye tha

    kya katib-e-taqdir se zaKHmon ki shikayat

    jo tir tha tarkash mein so chalne ke liye tha

    jalta hai mere dil mein paDa dagh ki surat

    jo chand sar-e-arsh nikalne ke liye tha

    is jhil mein tujh se bhi koi lahr na uThi

    aur tu meri taqdir badalne ke liye tha

    mayus na ja aa gham-e-dauran mere nazdik

    tu hi meri banhon mein machalne ke liye tha

    ye Dasti hui raat guzar jaegi yaro

    wo hansta hua din bhi to Dhalne ke liye tha

    kuchh aanch mere lams ki garmi se bhi pahunchi

    wo barf sa paikar bhi pighalne ke liye tha

    tafriq ne mulkon ki tarashe hain aqaed

    insan bas ek rah pe chalne ke liye tha

    zinda hai meri fikr mere karb se 'zulfi'

    ye phul isi shaKH pe phalne ke liye tha

    Source:

    Funoon(Jadeed Ghazal Number: Volume-002) (Pg. 795)

      • Edition: 1969
      • Publisher: Ahmad Nadeem Qasmi
      • Year of Publication: 1969
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now