Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

tanhai ne phir bazm saja li hai to kya hai

Sarwat Zehra

tanhai ne phir bazm saja li hai to kya hai

Sarwat Zehra

MORE BYSarwat Zehra

    tanhā.ī ne phir bazm sajā hai to kyā hai

    chup ne jo kahīñ aag jalālī hai to kyā hai

    lo ḳhaak nashīnān-e-bayābān chale phir

    manzil ne mirī pyaas bujhā hai to kyā hai

    shāyad rag-e-jāñ toḌ ke niklī hai tamannā

    ḳhvāboñ ne koī bazm sajā hai to kyā hai

    phir aks bujhā jaatā hai sūraj ziyā se

    ā.īne se vo dhuul uThā hai to kyā hai

    maiñ bhuul bhulayyoñ meñ kahīñ ghuum rahī huuñ

    dil ne koī dīvār girā hai to kyā hai

    minnat-kash-e-ehsās kahāñ chain milegā

    minnat mirī sadiyoñ ne baḌhā hai to kyā hai

    mehñdī koī rañg zarā din nahīñ Thahrā

    muTThī meñ vahī ḳhaak sajā hai to kyā hai

    mujh meñ mirī ruuh bhaTaktī hai to kab se

    āvārgī-e-shām sambhālī hai to kyā hai

    tanhai ne phir bazm saja li hai to kya hai

    chup ne jo kahin aag jalali hai to kya hai

    lo KHak nashinan-e-bayaban chale phir

    manzil ne meri pyas bujha li hai to kya hai

    shayad rag-e-jaan toD ke nikli hai tamanna

    KHwabon ne koi bazm saja li hai to kya hai

    phir aks bujha jata hai suraj ki ziya se

    aaine se wo dhul uTha li hai to kya hai

    main bhul bhulayyon mein kahin ghum rahi hun

    dil ne koi diwar gira li hai to kya hai

    minnat-kash-e-ehsas kahan chain milega

    minnat meri sadiyon ne baDha li hai to kya hai

    mehndi ka koi rang zara din nahin Thahra

    muTThi mein wahi KHak saja li hai to kya hai

    mujh mein hi meri ruh bhaTakti hai to kab se

    aawargi-e-sham sambhaali hai to kya hai

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now