Tapakte shoalon ki barsat mein nahaunga

Badnam Nazar

Tapakte shoalon ki barsat mein nahaunga

Badnam Nazar

MORE BYBadnam Nazar

  Tapakte sho.aloñ barsāt meñ nahā.ūñgā

  ab aa gayā huuñ to is shahar se na jā.ūñgā

  kashish hai ghar meñ na bāhar raunaqeñ baaqī

  yūñhī rahā to kahāñ ke muskurā.ūñgā

  ye giilī giilī ḳhushbū ye narm narm nigāh

  tumhāre paas rahā maiñ to bhiig jā.ūñgā

  basā sako to basā lo mujhe ḳhayāloñ meñ

  ki is dayār meñ dobāra maiñ na ā.ūñgā

  qadam sameT ke chalnā bhī siikh jāoge

  tumheñ maiñ gaañv pagDañDiyāñ dikhā.ūñgā

  chalā thā DhūñDne maiñ zindagī buniyādeñ

  pata na thā ki ḳhud apnā pata na pā.ūñgā

  na hūñgā maiñ to mirī dāstān hogī 'nazar'

  zamīñ pe dhuup sūrat maiñ phail jā.ūñgā

  Tapakte shoalon ki barsat mein nahaunga

  ab aa gaya hun to is shahar se na jaunga

  kashish hai ghar mein na bahar ki raunaqen baqi

  yunhi raha to kahan ja ke muskuraunga

  ye gili gili si KHushbu ye narm narm nigah

  tumhaare pas raha main to bhig jaunga

  basa sako to basa lo mujhe KHayalon mein

  ki is dayar mein dobara main na aaunga

  qadam sameT ke chalna bhi sikh jaoge

  tumhein main ganw ki pagDanDiyan dikhaunga

  chala tha DhunDne main zindagi ki buniyaaden

  pata na tha ki KHud apna pata na paunga

  na hunga main to meri dastan hogi 'nazar'

  zamin pe dhup ki surat main phail jaunga

  0
  COMMENTS
  VIEW COMMENTS

  Additional information available

  Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

  OKAY

  About this sher

  Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

  Close

  rare Unpublished content

  This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

  OKAY