Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

tapish se bhag kar pyasa gaya hai

Jagdeesh Raj Figar

tapish se bhag kar pyasa gaya hai

Jagdeesh Raj Figar

MORE BYJagdeesh Raj Figar

    tapish se bhaag kar pyāsā gayā hai

    samundar taraf sahrā gayā hai

    kuaañ maujūd hai jal bhī mayassar

    vo mere ghar se kyuuñ tishna gayā hai

    dobāra ruuh us meñ phūñk do tum

    badan jo phir akelā aa gayā hai

    zamāñ apnī ravish par to hai qaa.em

    magar lamhāt meñ farq aa gayā hai

    safar meñ tāza-dam hogā vo kaise

    jo ghar se thakā-māñda gayā hai

    banā hogā ḳhas-o-ḳhāshāk se vo

    jo nabh jaltā huā dekhā gayā hai

    mujhe lahroñ kashtī par biThā kar

    bhañvar khoj meñ dariyā gayā hai

    zamīñ se bhī tavaqqo kuchh hai aisī

    dimāġh-e-charḳh jab chakrā gayā hai

    jo utrā arsh ik ek tabqa

    zamīñ par dā.era bantā gayā hai

    na fikr-e-varta thī us ko zarā bhī

    vo kashtī ziist khetā gayā hai

    'figār' us meñ vajūd us milegā

    jo jūyāñ bahr qatra gayā hai

    tapish se bhag kar pyasa gaya hai

    samundar ki taraf sahra gaya hai

    kuan maujud hai jal bhi mayassar

    wo mere ghar se kyun tishna gaya hai

    dobara ruh us mein phunk do tum

    badan jo phir akela aa gaya hai

    zaman apni rawish par to hai qaem

    magar lamhat mein farq aa gaya hai

    safar mein taza-dam hoga wo kaise

    jo ghar hi se thaka-manda gaya hai

    bana hoga KHas-o-KHashak se wo

    jo nabh jalta hua dekha gaya hai

    mujhe lahron ki kashti par biTha kar

    bhanwar ki khoj mein dariya gaya hai

    zamin se bhi tawaqqo kuchh hai aisi

    dimagh-e-charKH jab chakra gaya hai

    jo utra arsh ka ek ek tabqa

    zamin par daera banta gaya hai

    na fikr-e-warta thi us ko zara bhi

    wo kashti zist ki kheta gaya hai

    'figar' us mein wajud us ka milega

    jo juyan bahr ka qatra gaya hai

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now