tapte sahra mein bhi dariya ka bharam rakhte hue
tapte sahrā meñ bhī dariyā kā bharam rakhte hue
ham ne ḳhushiyoñ se bhī rishta rakhā ġham rakhte hue
bhuul baiThā maiñ ki kyā chiiz hañsī hotī hai
apnī āñkhoñ ko sadā ashkoñ se nam rakhte hue
baat karnī hī zarūrī hai to phir karte raheñ
haañ magar thoḌā sā āvāz ko kam rakhte hue
us ne jab ḳhud ko sañvārā to sañvārā aise
zindagī kī tarah zulfoñ meñ bhī ḳham rakhte hue
bas nikal jā.eñge kuchh roz meñ is daldal se
ham ne sochā thā yahī pahlā qadam rakhte hue
tapte sahra mein bhi dariya ka bharam rakhte hue
hum ne KHushiyon se bhi rishta rakha gham rakhte hue
bhul baiTha main ki kya chiz hansi hoti hai
apni aankhon ko sada ashkon se nam rakhte hue
baat karni hi zaruri hai to phir karte rahen
han magar thoDa sa aawaz ko kam rakhte hue
us ne jab KHud ko sanwara to sanwara aise
zindagi ki tarah zulfon mein bhi KHam rakhte hue
bas nikal jaenge kuchh roz mein is daldal se
hum ne socha tha yahi pahla qadam rakhte hue
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.