Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

taqsir kya hai hasrat-e-didar hi to hai

Wamiq Jaunpuri

taqsir kya hai hasrat-e-didar hi to hai

Wamiq Jaunpuri

MORE BYWamiq Jaunpuri

    taqsīr kyā hai hasrat-e-dīdār to hai

    pādāsh us husn pindār to hai

    kyā pūchhte ho merā fasāna nayā nahīñ

    kyā dekhte ho ishq sar-e-dār to hai

    band-e-qabā chaTaktā huā ġhuncha-e-gulāb

    pahlū-e-yār nik.hat-e-gulzār to hai

    ham-sā.egī meñ us hai kyā lutf in dinoñ

    lekin ye lutf-e-sāya-e-dīvār to hai

    ai bāġhbāñ ba-nām-e-bahārāñ na chheḌ use

    gulzār meñ muhāfiz-e-gul ḳhaar to hai

    sāz-e-hayāt ham-nafaso ḳhuub hai magar

    kab TuuT jaa.e saañs ik taar to hai

    maiñ tañg huuñ sukūn se ab iztirāb de

    be-intihā sukūn bhī āzār to hai

    ḳhud jis meñ kuchh na paayā na auroñ ko kuchh diyā

    fil-asl aisī zindagī bekār to hai

    taqsir kya hai hasrat-e-didar hi to hai

    padash us ki husn ka pindar hi to hai

    kya puchhte ho mera fasana naya nahin

    kya dekhte ho ishq sar-e-dar hi to hai

    band-e-qaba chaTakta hua ghuncha-e-gulab

    pahlu-e-yar nikhat-e-gulzar hi to hai

    ham-saegi mein us ki hai kya lutf in dinon

    lekin ye lutf-e-saya-e-diwar hi to hai

    ai baghban ba-nam-e-bahaaran na chheD use

    gulzar mein muhafiz-e-gul KHar hi to hai

    saz-e-hayat ham-nafaso KHub hai magar

    kab TuT jae sans ka ek tar hi to hai

    main tang hun sukun se ab iztirab de

    be-intiha sukun bhi aazar hi to hai

    KHud jis mein kuchh na paya na auron ko kuchh diya

    fil-asl aisi zindagi bekar hi to hai

    RECITATIONS

    Nomaan Shauque

    Nomaan Shauque,

    Nomaan Shauque

    taqsir kya hai hasrat-e-didar hi to hai Nomaan Shauque

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now