Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

tariq-e-ishq mein adnesha-e-ziyan na raha

Rishi Patialvi

tariq-e-ishq mein adnesha-e-ziyan na raha

Rishi Patialvi

MORE BYRishi Patialvi

    tarīq-e-ishq meñ adnesha-e-ziyāñ na rahā

    usī naam rahā jis kuchh nishāñ na rahā

    kahīñ guloñ meñ kahīñ mehr-o-māh-o-anjum meñ

    nazar nazar ke liye vo kahāñ kahāñ na rahā

    liye the baḌh ke qadam jis ke qurb-e-manzil ne

    vo kārvāñ na rahā mīr-e-kārvāñ na rahā

    jinhoñ ne ḳhuun se ābiyārī-e-gulshan

    unhīñ sehn-e-gulistāñ meñ āshiyāñ na rahā

    ye sāneha hai ki rāheñ to haiñ na.ī lekin

    kisī usuul pe dastūr-e-kārvāñ na rahā

    nazar-navāz thā jab manzar-e-gul-o-ġhuncha

    chaman meñ aglī bahāroñ vo samāñ na rahā

    vo din bhī the ki ta.alluq thā ham-navāoñ se

    ye vaqt bhī hai ki ab koī ham-zabāñ na rahā

    hameñ bhī ab to ye harf-e-ġhalat lagtā hai

    hamārā naam ki jo zeb-e-dāstāñ na rahā

    diyā thā naam jise rāh-o-rasm-e-ulfat

    'rishī' vo mashġhala-e-sa.ī-e-rā.egāñ na rahā

    tariq-e-ishq mein adnesha-e-ziyan na raha

    usi ka nam raha jis ka kuchh nishan na raha

    kahin gulon mein kahin mehr-o-mah-o-anjum mein

    nazar nazar ke liye wo kahan kahan na raha

    liye the baDh ke qadam jis ke qurb-e-manzil ne

    wo karwan na raha mir-e-karwan na raha

    jinhon ne KHun se ki aabiyari-e-gulshan

    unhin ka sehn-e-gulistan mein aashiyan na raha

    ye saneha hai ki rahen to hain nai lekin

    kisi usul pe dastur-e-karwan na raha

    nazar-nawaz tha jab manzar-e-gul-o-ghuncha

    chaman mein agli bahaaron ka wo saman na raha

    wo din bhi the ki talluq tha ham-nawaon se

    ye waqt bhi hai ki ab koi ham-zaban na raha

    hamein bhi ab to ye harf-e-ghalat sa lagta hai

    hamara nam ki jo zeb-e-dastan na raha

    diya tha nam jise rah-o-rasm-e-ulfat ka

    'rishi' wo mashghala-e-sai-e-raegan na raha

    Source:

    Phool Unki Muskanon Ke (Pg. E-31 P-29)

    • Author: Rishi Patialvi
      • Edition: 1978
      • Publisher: Jamal Printing Press, Delhi
      • Year of Publication: 1978
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now