qafas se KHud hi parinda riha kiya maine
qafas se ḳhud hī parinda rihā kiyā maiñ ne
phir us ke baa'd ye sochā ki kyā kiyā maiñ ne
uḌaan bhar kā lagā āsmāñ mujhe yak-dam
badan se juuñ hī paroñ ko judā kiyā maiñ ne
vo aur bhī kisī chashm-e-kamāñ kī zad par thā
kuchh is liye bhī nishāna ḳhatā kiyā maiñ ne
jo dard tū ne diyā tere iḳhtiyār meñ thā
vo zabt jo mire bas meñ na thā kiyā maiñ ne
phir us ke baa'd ye dil kā diyā nahīñ sañbhlā
bas ek-bār hī zikr-e-havā kiyā maiñ ne
vo āñkheñ māñgne aayā to merī aañkh khulī
use ḳhirāj meñ kyā kyā adā kiyā maiñ ne
so ye zamīñ hai vo hai āsmāñ jidhar jaao
bas apne aap se tujh ko rihā kiyā maiñ ne
vahī huā ki jo 'tāriq'-na.īm honā thā
charāġh jab bhī sipurd-e-havā kiyā maiñ ne
qafas se KHud hi parinda riha kiya main ne
phir us ke ba'd ye socha ki kya kiya main ne
uDan bhar ka laga aasman mujhe yak-dam
badan se jun hi paron ko juda kiya main ne
wo aur bhi kisi chashm-e-kaman ki zad par tha
kuchh is liye bhi nishana KHata kiya main ne
jo dard tu ne diya tere iKHtiyar mein tha
wo zabt jo mere bas mein na tha kiya main ne
phir us ke ba'd ye dil ka diya nahin sanbhla
bas ek-bar hi zikr-e-hawa kiya main ne
wo aankhen mangne aaya to meri aankh khuli
use KHiraj mein kya kya ada kiya main ne
so ye zamin hai wo hai aasman jidhar jao
bas apne aap se tujh ko riha kiya main ne
wahi hua ki jo 'tariq'-naim hona tha
charagh jab bhi sipurd-e-hawa kiya main ne
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.