aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

tark-e-lazzat pe mail jo ba-zahir hai mizaj

Shauq Bahraichi

tark-e-lazzat pe mail jo ba-zahir hai mizaj

Shauq Bahraichi

MORE BYShauq Bahraichi

    tark-e-lazzāt pe maa.il jo ba-zāhir hai mizāj

    aaj to bagulā-bhagat jaise bane haiñ mahrāj

    husn-e-maġhrūr o siyah-fām kaise ho ilaaj

    shakl-o-sūrat to chuḌeloñ hai pariyoñ ke mizāj

    chhoḌ aa.e haram-e-pāk meñ jins-e-īmāñ

    laad kar na sake jab ki vatan tak hujjāj

    aise bhī bānī-e-be-dād haiñ kuchh duniyā meñ

    falak-e-pīr bhī detā hai jinheñ jhuk ke ḳhirāj

    husn jitnī zamīñ hotī hai nā-qābil-e-kāsht

    ishq paidā kiyā kartā hai sadā sab meñ anaaj

    sab kuchh allāh ne de rakkhā hai māl-o-zar-o-sīm

    haiñ magar ahl-e-duval aql-o-ḳhirad ke muhtāj

    is ke aa.iin nahīñ ab jo amal ke qābil

    to ise kar do retire ki purānā hai samāj

    jab kabhī log taraqqī taraf baḌhte haiñ

    Taañg uḌā dete haiñ kambaḳht yahī rasm-o-rivāj

    haa.e kyā pūchhte ho murda diloñ ahvāl

    miyāñ zinda haiñ magar beva haiñ un azvāj

    nā-ḳhudā.ī kiyā kartā hai talātum ḳhud

    khetī haiñ aap aa kar mirī kashtī amvāj

    chain se shaiḳh-e-haram umr basar karte haiñ

    rūpaya bank meñ hai miltā hai māhāna byaaj

    kaag uḌ uḌ ke ye botal ke sadā dete haiñ

    nashsha-bandī sunā hai koī mēting hai aaj

    ab jo chāhe kare ishq-e-vatan meñ ai 'shauq'

    husn kuchh bol nahīñ saktā hai de kar saurāj

    tark-e-lazzat pe mail jo ba-zahir hai mizaj

    aaj to bagula-bhagat jaise bane hain mahraj

    husn-e-maghrur o siyah-fam ka kaise ho ilaj

    shakl-o-surat to chuDelon ki hai pariyon ke mizaj

    chhoD aae haram-e-pak mein jins-e-iman

    lad kar la na sake jab ki watan tak hujjaj

    aise bhi bani-e-be-dad hain kuchh duniya mein

    falak-e-pir bhi deta hai jinhen jhuk ke KHiraj

    husn ki jitni zamin hoti hai na-qabil-e-kasht

    ishq paida kiya karta hai sada sab mein anaj

    sab kuchh allah ne de rakkha hai mal-o-zar-o-sim

    hain magar ahl-e-duwal aql-o-KHirad ke muhtaj

    is ke aain nahin ab jo amal ke qabil

    to ise kar do retire ki purana hai samaj

    jab kabhi log taraqqi ki taraf baDhte hain

    Tang uDa dete hain kambaKHt yahi rasm-o-riwaj

    hae kya puchhte ho murda dilon ka ahwal

    miyan zinda hain magar bewa hain un ki azwaj

    na-KHudai kiya karta hai talatum KHud hi

    kheti hain aap hi aa kar meri kashti amwaj

    chain se shaiKH-e-haram umr basar karte hain

    rupaya bank mein hai milta hai mahana byaj

    kag uD uD ke ye botal ke sada dete hain

    nashsha-bandi ki suna hai koi meeting hai aaj

    ab tu jo chahe kare ishq-e-watan mein ai 'shauq'

    husn kuchh bol nahin sakta hai de kar sauraj

    Source:

    intekhab-e-kalam shauq bahraichi (Pg. 54)

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now