Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

tark jis din se kiya humne shakebai ka

Rajab Ali Beg Suroor

tark jis din se kiya humne shakebai ka

Rajab Ali Beg Suroor

MORE BYRajab Ali Beg Suroor

    tark jis din se kiyā ham ne shakebā.ī

    jā-ba-jā shahr meñ charchā huā rusvā.ī

    ġhair dāġh-e-dil-e-sad-chāk na monis na rafīq

    zor aalam pe hai aalam mirī tanhā.ī

    pahroñ apne ta.iiñ aap huuñ bhūlā rahtā

    dhyān aatā hai jab apne mujhe harjā.ī

    zalzala gor meñ majnūñ paḌā rahtā hai

    apnā ye shor hai ab bādiya-paimā.ī

    jalva us hai har ik ghar meñ basān-e-ḳhurshīd

    farq hai apnī faqat aah ye bīnā.ī

    kalma-e-haq bhī dam-e-naz.a na niklā muñh se

    shaiḳh ko dhyān thā aisā but-e-tarsā.ī

    kashish-e-nāla use kahte haiñ ab vo jo 'surūr'

    mahv-e-nazzāra huā apne tamāshā.ī

    tark jis din se kiya hum ne shakebai ka

    ja-ba-ja shahr mein charcha hua ruswai ka

    ghair dagh-e-dil-e-sad-chaak na monis na rafiq

    zor aalam pe hai aalam meri tanhai ka

    pahron hi apne tain aap hun bhula rahta

    dhyan aata hai jab apne mujhe harjai ka

    zalzala gor mein majnun ki paDa rahta hai

    apna ye shor hai ab baadiya-paimai ka

    jalwa us ka hai har ek ghar mein basan-e-KHurshid

    farq hai apni faqat aah ye binai ka

    kalma-e-haq bhi dam-e-naza na nikla munh se

    shaiKH ko dhyan tha aisa but-e-tarsai ka

    kashish-e-nala use kahte hain ab wo jo 'surur'

    mahw-e-nazzara hua apne tamashai ka

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now