tasalsul se kabhi aata nahin hai
tasalsul se kabhī aatā nahīñ hai
adhūrā ġham mujhe bhātā nahīñ hai
mire maulā jahān-e-bebasī meñ
koī bhī rahm ab khātā nahīñ hai
guzishta roz maiñ ne ro ke pūchhā
ḳhushī mujh se tirā naata nahīñ hai
tire chehre ko dekhā baa'd us ke
koī chehra mujhe bhātā nahīñ hai
ka.ī harbe kiye haiñ maiñ ne 'ābir'
magar vo zehn se jaatā nahīñ hai
tasalsul se kabhi aata nahin hai
adhura gham mujhe bhata nahin hai
mere maula jahan-e-bebasi mein
koi bhi rahm ab khata nahin hai
guzishta roz main ne ro ke puchha
KHushi mujh se tera nata nahin hai
tere chehre ko dekha ba'd us ke
koi chehra mujhe bhata nahin hai
kai harbe kiye hain main ne 'abir'
magar wo zehn se jata nahin hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.