Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

tasawwur aap ka hai aur main hun

Nizam Rampuri

tasawwur aap ka hai aur main hun

Nizam Rampuri

MORE BYNizam Rampuri

    tasavvur aap hai aur maiñ huuñ

    yahī ab mashġhalā hai aur maiñ huuñ

    mirī zid se milā phir dushmanoñ se

    bas ab vo bevafā hai aur maiñ huuñ

    vo ho aur maiñ huuñ aur koī na ho ġhair

    yahī har-dam duā hai aur maiñ huuñ

    tasavvur meñ haiñ pahroñ un se bāteñ

    shikāyat mazā hai aur maiñ huuñ

    tumhārī ḳhū hai ranjish har ghaḌī

    ye jhagḌā roz hai aur maiñ huuñ

    ilāhī vasl hai ḳhvāb hai ye

    husūl-e-mudda.ā hai aur maiñ huuñ

    hazāroñ ġham to dekhe us se mil kar

    vahī phir hauslā hai aur maiñ huuñ

    sahe kyā kyā sitam aur ab talak bhī

    tamannā hai vafā hai aur maiñ huuñ

    ga.e vo to jahāñ jaanā thā un ko

    ab un naqsh-e-pā hai aur maiñ huuñ

    har ik se hāl-e-dil kahtā huuñ apnā

    ye charchā jā-ba-jā hai aur maiñ huuñ

    do aalam ḳhushī se kuchh nahīñ kaam

    faqat ik ġham tirā hai aur maiñ huuñ

    vo hai aur ahd-nāme haiñ adū se

    nasīboñ likhā hai aur maiñ huuñ

    ġham-e-dūrī qayāmat hai ki har-dam

    ajal sāmnā hai aur maiñ huuñ

    ḳhudā jannateñ haiñ aur hai ḳhalq

    sanam kūcha tirā hai aur maiñ huuñ

    sahar hote jaate kisī ke

    vahī āh-o-bukā hai aur maiñ huuñ

    'nizām' us but ke ġham meñ ho tasallī

    bas ik zāt-e-ḳhudā hai aur maiñ huuñ

    tasawwur aap ka hai aur main hun

    yahi ab mashghala hai aur main hun

    meri zid se mila phir dushmanon se

    bas ab wo bewafa hai aur main hun

    wo ho aur main hun aur koi na ho ghair

    yahi har-dam dua hai aur main hun

    tasawwur mein hain pahron un se baaten

    shikayat ka maza hai aur main hun

    tumhaari KHu hai ranjish har ghaDi ki

    ye jhagDa roz ka hai aur main hun

    ilahi wasl hai ya KHwab hai ye

    husul-e-muddaa hai aur main hun

    hazaron gham to dekhe us se mil kar

    wahi phir hausla hai aur main hun

    sahe kya kya sitam aur ab talak bhi

    tamanna hai wafa hai aur main hun

    gae wo to jahan jaana tha un ko

    ab un ka naqsh-e-pa hai aur main hun

    har ek se haal-e-dil kahta hun apna

    ye charcha ja-ba-ja hai aur main hun

    do aalam ki KHushi se kuchh nahin kaam

    faqat ek gham tera hai aur main hun

    wo hai aur ahd-name hain adu se

    nasibon ka likha hai aur main hun

    gham-e-duri qayamat hai ki har-dam

    ajal ka samna hai aur main hun

    KHuda ki jannaten hain aur hai KHalq

    sanam kucha tera hai aur main hun

    sahar hote hi jate hi kisi ke

    wahi aah-o-buka hai aur main hun

    'nizam' us but ke gham mein ho tasalli

    bas ek zat-e-KHuda hai aur main hun

    Source:

    kulliyat-e-nizaam (Pg. 193)

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now