Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

tasawwur se tere jo aabaad hogi

Shagufta Sahsrami

tasawwur se tere jo aabaad hogi

Shagufta Sahsrami

MORE BYShagufta Sahsrami

    tasavvur se tere jo ābād hogī

    to phir dil duniyā na barbād hogī

    chhalak jā.eñge ḳhud shabnam ke aañsū

    laboñ pe jo bulbul ke fariyād hogī

    mire ba.ad bhī chain na sakoge

    tumheñ merī har ik adā yaad hogī

    zarā soch le ai miTā dene vaale

    mire ba.ad phir kis pe bedād hogī

    tasawwur se tere jo aabaad hogi

    to phir dil ki duniya na barbaad hogi

    chhalak jaenge KHud hi shabnam ke aansu

    labon pe jo bulbul ke fariyaad hogi

    mere baad bhi chain pa na sakoge

    tumhein meri har ek ada yaad hogi

    zara soch le ai miTa dene wale

    mere baad phir kis pe bedad hogi

    Source:

    Bihar Mein Jadeed Ghazal (Pg. 140)

      • Publisher: Ataullah Khan Alwi
      • Year of Publication: 1955
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now