Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

tasawwuraat ki duniya sajae baiThe hain

Sardar Khan Soz

tasawwuraat ki duniya sajae baiThe hain

Sardar Khan Soz

MORE BYSardar Khan Soz

    tasavvurāt duniyā sajā.e baiThe haiñ

    kisī aas ko dil se lagā.e baiThe haiñ

    fareb umr do roza khaa.e baiThe haiñ

    batā.eñ kyā ki jo sadma uThā.e baiThe haiñ

    na jaane kis ghaḌī aa jaa.eñ DhūñDte ham ko

    charāġh din meñ bhī dar par jalā.e baiThe haiñ

    sunā hai jab se duā.eñ qubūl hotī haiñ

    duā ko haath ham apne uThā.e baiThe haiñ

    vo aa rahe haiñ koī kah rahā hai kānoñ meñ

    charāġh diid ham to bujhā.e baiThe haiñ

    ġharīb-ḳhāne saarī fazā mo.attar hai

    ye lag rahā hai vo aa.e haiñ aa.e baiThe haiñ

    na pūchh kaise shab-e-intizār guzrī hai

    na chheḌ ham ko sabā ham satā.e baiThe haiñ

    ḳhabar kahāñ hai zamāne 'soz' ham us ko

    kisī ke ishq meñ ḳhud ko bhulā.e baiThe haiñ

    tasawwuraat ki duniya sajae baiThe hain

    kisi ki aas ko dil se lagae baiThe hain

    fareb umr do roza ka khae baiThe hain

    bataen kya ki jo sadma uThae baiThe hain

    na jaane kis ghaDi aa jaen DhunDte hum ko

    charagh din mein bhi dar par jalae baiThe hain

    suna hai jab se duaen qubul hoti hain

    dua ko hath hum apne uThae baiThe hain

    wo aa rahe hain koi kah raha hai kanon mein

    charagh did ka hum to bujhae baiThe hain

    gharib-KHane ki sari faza moattar hai

    ye lag raha hai wo aae hain aae baiThe hain

    na puchh kaise shab-e-intizar guzri hai

    na chheD hum ko saba hum satae baiThe hain

    KHabar kahan hai zamane ki 'soz' hum us ko

    kisi ke ishq mein KHud ko bhulae baiThe hain

    Source:

    Soz-e-daroon (Pg. B-121 E-141)

    • Author: Sardar Khan Soz
      • Edition: 2003
      • Publisher: Ghaalib Academy Of North America
      • Year of Publication: 2003
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now