Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

tashna faza-e-subh-e-chaman mein KHumar hai

Humaira Gul Tishna

tashna faza-e-subh-e-chaman mein KHumar hai

Humaira Gul Tishna

MORE BYHumaira Gul Tishna

    'tashna' fazā-e-sub.h-e-chaman meñ ḳhumār hai

    lekin jo dil baat karūñ be-qarār hai

    phūloñ ke surḳh Dher ke pīchhe hai tez teġh

    yūsuf ke bhā.iyoñ kahāñ e'tibār hai

    gardish āsmān hai shorish ḳhaak par

    aadam tirī zamīñ pe bahut sogvār hai

    logoñ se rabt zabt hai duniyā se ittifāq

    shāyad ye apne aap se merā farār hai

    shikva kareñge ham na taġhāful-shi.ār

    mahfil meñ kam-suḳhan ziyāda vaqār hai

    tāroñ sair-gāh se us pukārnā

    mujh ko ajiib vahm hai aur baar baar hai

    'tashna' kabhī to baiTh ke un se kalām kar

    kyoñ tujh ko ḳhāmushī se batā itnā pyaar hai

    'tashna' faza-e-subh-e-chaman mein KHumar hai

    lekin jo dil ki baat karun be-qarar hai

    phulon ke surKH Dher ke pichhe hai tez tegh

    yusuf ke bhaiyon ka kahan e'tibar hai

    gardish ka aasman hai shorish ki KHak par

    aadam teri zamin pe bahut sogwar hai

    logon se rabt zabt hai duniya se ittifaq

    shayad ye apne aap se mera farar hai

    shikwa karenge hum na taghaful-shiar ka

    mahfil mein kam-suKHan ka ziyaada waqar hai

    taron ki sair-gah se us ka pukarna

    mujh ko ajib wahm hai aur bar bar hai

    'tashna' kabhi to baiTh ke un se kalam kar

    kyon tujh ko KHamushi se bata itna pyar hai

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now