Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

taskin bas ana ki kiye ja rahe hain aap

Euphonic Amit

taskin bas ana ki kiye ja rahe hain aap

Euphonic Amit

MORE BYEuphonic Amit

    taskīn bas anā kiye rahe haiñ aap

    ham se bichhaḌ ke boliye kyā rahe haiñ aap

    zāhir meñ 'ishq ham se to farmā rahe haiñ aap

    bātin meñ pūchhiye to sitam Dhā rahe haiñ aap

    yādoñ ko dafn kar chuke maazī qabr meñ

    bāteñ purānī darmiyāñ kyoñ rahe haiñ aap

    masrūfiyat thī aap se yuuñ mil nahīñ sake

    afvāh kyoñ bichhaḌne phailā rahe haiñ aap

    ummīd fasl-e-gul fazāoñ ko ho ga.ī

    gulshan ko apnī ḳhushbū se bahkā rahe haiñ aap

    duniyā meñ aur bhī haiñ ka.ī mas.ale magar

    uljhī huī laToñ ko suljhā rahe haiñ aap

    vā'da kiyā kisī se nibhāyā nahīñ kabhī

    vā'doñ se 'amit' ko bhī bahlā rahe haiñ aap

    taskin bas ana ki kiye ja rahe hain aap

    hum se bichhaD ke boliye kya pa rahe hain aap

    zahir mein 'ishq hum se to farma rahe hain aap

    baatin mein puchhiye to sitam Dha rahe hain aap

    yaadon ko dafn kar chuke mazi ki qabr mein

    baaten purani darmiyan kyon la rahe hain aap

    masrufiyat thi aap se yun mil nahin sake

    afwah kyon bichhaDne ki phaila rahe hain aap

    ummid fasl-e-gul ki fazaon ko ho gai

    gulshan ko apni KHushbu se bahka rahe hain aap

    duniya mein aur bhi hain kai masale magar

    uljhi hui laTon ko hi suljha rahe hain aap

    wa'da kiya kisi se nibhaya nahin kabhi

    wa'don se hi 'amit' ko bhi bahla rahe hain aap

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now