taslim ki jalwe aam nahin lekin wo zulmat bhi to nahin
taslīm ki jalve 'aam nahīñ lekin vo zulmat bhī to nahīñ
ai bad-zan sāthī aaj fazā itnī pur-haibat bhī to nahīñ
'unvān vahī afsāna vahī aisā ho to maiñ bhī kah duuñ
gulshan meñ magar vo pahlī sī vahshat kyā hairat bhī to nahīñ
haañ jāntā huuñ ab bhī lākhoñ behāl-o-be-mustaqbil haiñ
iflās bhī hai be-hālī bhī ġham hī ġham qismat bhī to nahīñ
ummīd kī sham'eñ jaag uThīñ mahfil kī tārīkī soī
kam-kam hai ujālā hai to sahī bilkul yāsiyyat bhī to nahīñ
taslim ki jalwe 'am nahin lekin wo zulmat bhi to nahin
ai bad-zan sathi aaj faza itni pur-haibat bhi to nahin
'unwan wahi afsana wahi aisa ho to main bhi kah dun
gulshan mein magar wo pahli si wahshat kya hairat bhi to nahin
han jaanta hun ab bhi lakhon behaal-o-be-mustaqbil hain
iflas bhi hai be-haali bhi gham hi gham qismat bhi to nahin
ummid ki sham'en jag uThin mahfil ki tariki soi
kam-kam hai ujala hai to sahi bilkul yasiyyat bhi to nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.