Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

taufiq agar rahbar-e-manzil nahin hoti

Raz Chandpuri

taufiq agar rahbar-e-manzil nahin hoti

Raz Chandpuri

MORE BYRaz Chandpuri

    taufīq agar rahbar-e-manzil nahīñ hotī

    me.arāj-e-mohabbat kabhī hāsil nahīñ hotī

    jo soz-e-mohabbat se na ho sho.ala-ba-dāmāñ

    vo sham.a kabhī raunaq-e-mahfil nahīñ hotī

    jo aañkh na ho husn-e-haqīqat shanāsā

    vo dīd-e-ruḳh-e-yār ke qābil nahīñ hotī

    jab tak na bhare rañg vafā mānī-e-fitrat

    tasvīr-e-mohabbat kabhī kāmil nahīñ hotī

    dilkash haiñ kuchh aise rah-e-ulfat ke manāzir

    rahrav ko kabhī ḳhvāhish-e-manzil nahīñ hotī

    gir paḌtā huuñ aksar maiñ rah-e-ishq meñ jis

    ik marhala hotā hai vo manzil nahīñ hotī

    nā-kām mohabbat huuñ maiñ ai 'rāz' to kyā ġham

    ye baat bhī har ek ko hāsil nahīñ hotī

    taufiq agar rahbar-e-manzil nahin hoti

    mearaj-e-mohabbat kabhi hasil nahin hoti

    jo soz-e-mohabbat se na ho shoala-ba-daman

    wo shama kabhi raunaq-e-mahfil nahin hoti

    jo aankh na ho husn-e-haqiqat ki shanasa

    wo did-e-ruKH-e-yar ke qabil nahin hoti

    jab tak na bhare rang wafa mani-e-fitrat

    taswir-e-mohabbat kabhi kaamil nahin hoti

    dilkash hain kuchh aise rah-e-ulfat ke manazir

    rahraw ko kabhi KHwahish-e-manzil nahin hoti

    gir paDta hun aksar main rah-e-ishq mein jis ja

    ek marhala hota hai wo manzil nahin hoti

    na-kaam mohabbat hun main ai 'raaz' to kya gham

    ye baat bhi har ek ko hasil nahin hoti

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now