Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

taufiq se kab koi sarokar chale hai

Ada Jafarey

taufiq se kab koi sarokar chale hai

Ada Jafarey

MORE BYAda Jafarey

    taufīq se kab koī sarokār chale hai

    duniyā meñ faqat tāla-e-bedār chale hai

    Thahrūñ to chaTānoñ kaleje pe khaḌī hai

    jā.ūñ to mire saath dīvār chale hai

    har ġhuncha baḌe chaav se khiltā hai chaman meñ

    har daur mansūr sar-e-dār chale hai

    rañgoñ na ḳhushbū kamī hai dil-o-jāñ ko

    tosha jo chale saath vo ik ḳhaar chale hai

    dil ke liye bas aañkh me.aar bahut hai

    jo sikka-e-jāñ hai sar-e-bāzār chale hai

    hairat se shagūfoñ jhapaktī nahīñ āñkheñ

    kis aan se kāñToñ ḳharīdār chale hai

    ḳhurshīd vahāñ ham ne sulagte hue dekhe

    kirnoñ jis āshob meñ bevpār chale hai

    ik jumbish-e-mizhgāñ ijāzat bhī nahīñ hai

    dil saath chalā hai ki sitamgār chale hai

    the ḳhizr bhī lākhoñ yahāñ iisā bhī bahut the

    āzār jo dil hai so āzār chale hai

    taufiq se kab koi sarokar chale hai

    duniya mein faqat tala-e-bedar chale hai

    Thahrun to chaTanon si kaleje pe khaDi hai

    jaun to mere sath hi diwar chale hai

    har ghuncha baDe chaw se khilta hai chaman mein

    har daur ka mansur sar-e-dar chale hai

    rangon ki na KHushbu ki kami hai dil-o-jaan ko

    tosha jo chale sath wo ek KHar chale hai

    dil ke liye bas aankh ka mear bahut hai

    jo sikka-e-jaan hai sar-e-bazar chale hai

    hairat se shagufon ki jhapakti nahin aankhen

    kis aan se kanTon ka KHaridar chale hai

    KHurshid wahan hum ne sulagte hue dekhe

    kirnon ka jis aashob mein bewpar chale hai

    ek jumbish-e-mizhgan ki ijazat bhi nahin hai

    dil sath chala hai ki sitamgar chale hai

    the KHizr bhi lakhon yahan isa bhi bahut the

    aazar jo dil ka hai so aazar chale hai

    Videos
    This video is playing from YouTube

    Videos
    This video is playing from YouTube

    Ada Jafarey

    Ada Jafarey

    Source:

    Funoon(Jadeed Ghazal Number: Volume-002) (Pg. 130)

      • Edition: 1969
      • Publisher: Ahmad Nadeem Qasmi
      • Year of Publication: 1969
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now