tauqir andheron ki baDha di gai shayad

Ehteram Islam

tauqir andheron ki baDha di gai shayad

Ehteram Islam

MORE BYEhteram Islam

  tauqīr añdheroñ baḌhā ga.ī shāyad

  ik sham.a jo raushan thī bujhā ga.ī shāyad

  phir dar-badarī hone lagī us muqaddar

  phir shauq ke sho.aloñ ko havā ga.ī shāyad

  mauhūm nazar aatā hai ab josh-e-mulāqāt

  kuchh garmi-e-ehsās ghaTā ga.ī shāyad

  is baar bhī sho.aloñ ne machā Daalī tabāhī

  is baar bhī sho.aloñ ko havā ga.ī shāyad

  Tiktīñ nahīñ duniyā-e-haqīqat pe nigāheñ

  ḳhvāboñ koī bazm sajā ga.ī shāyad

  aa Thahrī thī jo zabt ke asrār se bach kar

  āñkhoñ se vahī buuñd girā ga.ī shāyad

  qātil ko biThāyā gayā sar par mire hote

  mujh ko merī auqāt batā ga.ī shāyad

  tauqir andheron ki baDha di gai shayad

  ek shama jo raushan thi bujha di gai shayad

  phir dar-badari hone lagi us ka muqaddar

  phir shauq ke shoalon ko hawa di gai shayad

  mauhum nazar aata hai ab josh-e-mulaqat

  kuchh garmi-e-ehsas ghaTa di gai shayad

  is bar bhi shoalon ne macha Dali tabahi

  is bar bhi shoalon ko hawa di gai shayad

  Tiktin nahin duniya-e-haqiqat pe nigahen

  KHwabon ki koi bazm saja di gai shayad

  aa Thahri thi jo zabt ke asrar se bach kar

  aankhon se wahi bund gira di gai shayad

  qatil ko biThaya gaya sar par mere hote

  mujh ko meri auqat bata di gai shayad

  Videos
  This video is playing from YouTube

  Videos
  This video is playing from YouTube

  Ehteram Islam

  Ehteram Islam

  Source :
  • Book : Hazir hai ehteram (Pg. 42)
  • Author : Ehitaram Islam
  • Publication : Anjuman Prakashan (2014)
  • Edition : 2014
  0
  COMMENTS
  VIEW COMMENTS

  Additional information available

  Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

  OKAY

  About this sher

  Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

  Close

  rare Unpublished content

  This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

  OKAY