tayyar hai jo laDne ko majdhaar ke aage
tayyār hai jo laḌne ko majdhār ke aage
jhuktā hai samundar usī patvār ke aage
sachche se kisī dil ke hī kirdār ke aage
sajde meñ mohabbat hai vafādār ke aage
ḳhushiyoñ pe ġharīboñ kā koī haq hī nahīñ kyuuñ
be-bas hai ġharībī kisī tyauhār ke aage
mausam hai bahāroñ kā yā sāvan kī ghaTā hai
phīke haiñ nazāre ye tire pyaar ke aage
marzī jise karnī hai vo har haal karegā
updesh yuuñ be-kār haiñ makkār ke aage
tayyar hai jo laDne ko majdhaar ke aage
jhukta hai samundar usi patwar ke aage
sachche se kisi dil ke hi kirdar ke aage
sajde mein mohabbat hai wafadar ke aage
KHushiyon pe gharibon ka koi haq hi nahin kyun
be-bas hai gharibi kisi tyauhaar ke aage
mausam hai bahaaron ka ya sawan ki ghaTa hai
phike hain nazare ye tere pyar ke aage
marzi jise karni hai wo har haal karega
updesh yun be-kar hain makkar ke aage
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.