Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

tegh-e-sitam kabhi hai to sang-e-jafa kabhi

Rahman Khawar

tegh-e-sitam kabhi hai to sang-e-jafa kabhi

Rahman Khawar

MORE BYRahman Khawar

    teġh-e-sitam kabhī hai to sañg-e-jafā kabhī

    ya.anī nasīb-e-ishq vahī hai jo thā kabhī

    saayā na thā ki saath mirā chhoḌtā kabhī

    ab bhī vo saath hai jo mire saath thā kabhī

    aksar to ḳhushk mirī āñkheñ rahīñ magar

    yuuñ bhī havā diye se diyā jal uThā kabhī

    kuchh kuchh to ibtidā-e-asīrī meñ thā karam

    phir haal pūchhne bhī na aa.ī sabā kabhī

    har phuul mahak hai chaman meñ junūñ-asar

    shāyad isī jagah koī sahrā bhī thā kabhī

    vo log bhī haiñ sañg-ba-kaf jin se aaj tak

    pūchhā na ham ne terī galī pata kabhī

    tegh-e-sitam kabhi hai to sang-e-jafa kabhi

    yani nasib-e-ishq wahi hai jo tha kabhi

    saya na tha ki sath mera chhoDta kabhi

    ab bhi wo sath hai jo mere sath tha kabhi

    aksar to KHushk hi meri aankhen rahin magar

    yun bhi hawa diye se diya jal uTha kabhi

    kuchh kuchh to ibtida-e-asiri mein tha karam

    phir haal puchhne bhi na aai saba kabhi

    har phul ki mahak hai chaman mein junun-asar

    shayad isi jagah koi sahra bhi tha kabhi

    wo log bhi hain sang-ba-kaf jin se aaj tak

    puchha na hum ne teri gali ka pata kabhi

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now