Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

tera suluk mujhse hai aghyar ki tarah

Kaukab Zaki

tera suluk mujhse hai aghyar ki tarah

Kaukab Zaki

MORE BYKaukab Zaki

    terā sulūk mujh se hai aġhyār tarah

    āñkhoñ meñ jo khaTaktā huuñ maiñ ḳhaar tarah

    mub.ham har ek baat sanam lage mujhe

    iqrār bhī lage mujhe inkār tarah

    shatranj jaisī mujh ko lage hai ye zindagī

    chalnā har ek chaal samajhdār tarah

    shā'ir samajh ke tujh ko bulāyā thā bazm meñ

    ġhazloñ ko yuuñ na gulu-kār tarah

    hosh-o-havās gum haiñ jo us ke firāq meñ

    ḳhud ko samajh rahā huuñ maiñ bīmār tarah

    saa.il tumhāre dar pe jo aa.e kabhī zakī

    us ko navāziye kisī dildār tarah

    qaabū meñ rakh zabān ko apnī sadā 'zakī'

    rishtoñ ko kāTtī hai ye talvār tarah

    tera suluk mujh se hai aghyar ki tarah

    aankhon mein jo khaTakta hun main KHar ki tarah

    mubham har ek baat sanam ki lage mujhe

    iqrar bhi lage mujhe inkar ki tarah

    shatranj jaisi mujh ko lage hai ye zindagi

    chalna har ek chaal samajhdar ki tarah

    sha'ir samajh ke tujh ko bulaya tha bazm mein

    ghazlon ko yun na ga tu gulu-kar ki tarah

    hosh-o-hawas gum hain jo us ke firaq mein

    KHud ko samajh raha hun main bimar ki tarah

    sail tumhaare dar pe jo aae kabhi zaki

    us ko nawaziye kisi dildar ki tarah

    qabu mein rakh zaban ko apni sada 'zaki'

    rishton ko kaTti hai ye talwar ki tarah

    Source:

    ضبط فغاں(شعری مجموعہ) (Pg. 58)

    • Author: کوکب ذکی
      • Publisher: وشواس پبلی کیشنز ،حیدرآباد
      • Year of Publication: 2016
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now