tere aane ka mere dost bharam rakkha hai
tere aane kā mire dost bharam rakkhā hai
vo mirā dil hai jahāñ tū ne qadam rakkhā hai
tū hai saaqī to mirī jaan mirī pyaas na pūchh
ḳhum kā ḳhum tū ne jo rakkhā hai ye kam rakkhā hai
merī sāñsoñ meñ basī hai vahī ḳhushbū ab tak
us ne bhī zulfoñ meñ ab tak vahī ḳham rakhā hai
dekh tū 'ishq kī shiddat ki tirī chāhat meñ
but-shikan ne tire patthar ko sanam rakkhā hai
yuuñ hañsī aatī hai be-bāt pe aksar ham ko
ham ne siine meñ chhupā kar koī ġham rakkhā hai
chaak gardish meñ hai phir jaam na.e ubhreñge
ham ne miTTī ko isī aas pe nam rakkhā hai
faisla jang kā is baar anokhā hogā
ham ne talvār ke baazū meñ qalam rakkhā hai
tere aane ka mere dost bharam rakkha hai
wo mera dil hai jahan tu ne qadam rakkha hai
tu hai saqi to meri jaan meri pyas na puchh
KHum ka KHum tu ne jo rakkha hai ye kam rakkha hai
meri sanson mein basi hai wahi KHushbu ab tak
us ne bhi zulfon mein ab tak wahi KHam rakha hai
dekh tu 'ishq ki shiddat ki teri chahat mein
but-shikan ne tere patthar ko sanam rakkha hai
yun hansi aati hai be-baat pe aksar hum ko
hum ne sine mein chhupa kar koi gham rakkha hai
chaak gardish mein hai phir jam nae ubhrenge
hum ne miTTi ko isi aas pe nam rakkha hai
faisla jang ka is bar anokha hoga
hum ne talwar ke bazu mein qalam rakkha hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.