tere badan ke lams ka manzar bikhar gaya
tere badan ke lams kā manzar bikhar gayā
TuuTī jo niiñd ḳhvāb kā paikar bikhar gayā
tere baġhair lā na sakā dhaḌkanoñ kī taab
vo dil jo TuuT kar mire andar bikhar gayā
us paikar-e-jamāl ne Daale the sirf paañv
dariyā meñ raushnī kā samundar bikhar gayā
āñdhī tirā ġhurūr to qaa.em rahā magar
chiḌiyoñ kā ik jahān zamīñ par bikhar gayā
yuuñ muntashir huā hai mirī zindagī kā ḳhvāb
jaise mire vajūd kā mehvar bikhar gayā
aisā lagā ki saarā jahāñ jiit legā vo
aa.ī jo dhuup mom kā lashkar bikhar gayā
tere badan ke lams ka manzar bikhar gaya
TuTi jo nind KHwab ka paikar bikhar gaya
tere baghair la na saka dhaDkanon ki tab
wo dil jo TuT kar mere andar bikhar gaya
us paikar-e-jamal ne Dale the sirf panw
dariya mein raushni ka samundar bikhar gaya
aandhi tera ghurur to qaem raha magar
chiDiyon ka ek jahan zamin par bikhar gaya
yun muntashir hua hai meri zindagi ka KHwab
jaise mere wajud ka mehwar bikhar gaya
aisa laga ki sara jahan jit lega wo
aai jo dhup mom ka lashkar bikhar gaya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.