tere bikhre hue lafzon ki kahani likh dun
tere bikhre hue lafzoñ kī kahānī likh duuñ
apnī ġhazloñ meñ maiñ terī hī javānī likh duuñ
chashm-e-āhū kī qasam rone se dukhtā hai dil
terī palkoñ pe maiñ har shaam suhānī likh duuñ
chāñd sāhil pe utar aayā shab-e-furqat meñ
naam is ke maiñ samundar kī ravānī likh duuñ
raushnā.ī hai lagī rang-e-hinā rahne do
ḳhāma-farsā.ī meñ duniyā ye lubhānī likh duuñ
aaj kashtī ne bhī pahnā hai nayā joḌā phir
naam sahrā ke hī ab dariyā kā paanī likh duuñ
ḳhair tāroñ se mulāqāteñ to hotī rahtīñ
is qabīle meñ koī us kī nishānī likh duuñ
tere bikhre hue lafzon ki kahani likh dun
apni ghazlon mein main teri hi jawani likh dun
chashm-e-ahu ki qasam rone se dukhta hai dil
teri palkon pe main har sham suhani likh dun
chand sahil pe utar aaya shab-e-furqat mein
nam is ke main samundar ki rawani likh dun
raushnai hai lagi rang-e-hina rahne do
KHama-farsai mein duniya ye lubhani likh dun
aaj kashti ne bhi pahna hai naya joDa phir
nam sahra ke hi ab dariya ka pani likh dun
KHair taron se mulaqaten to hoti rahtin
is qabile mein koi us ki nishani likh dun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.