Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

tere gham ka tadaruk kiya to hamein sharm aa jaegi aur mar jaenge

Mohsin Asrar

tere gham ka tadaruk kiya to hamein sharm aa jaegi aur mar jaenge

Mohsin Asrar

MORE BYMohsin Asrar

    tere ġham tadāruk kiyā to hameñ sharm aa jā.egī aur mar jā.eñge

    ḳhvāb-āvar davā ham ne le to phir niiñd ke kizb se zaḳhm bhar jā.eñge

    sā.ateñ be-sabātī aulād haiñ aur sayyād haiñ is liye aao ham

    vaqt ko toḌ deñ varna sab kaam rāteñ Dhal jā.eñgī din guzar jā.eñge

    tum yūñhī ishq ke zor par ḳhud ko rakkhe raho aur hañste sañvarte raho

    dekhnā ek din ham kisī moḌ par apne ham-zād ko zer kar jā.eñge

    ranjisheñ dil meñ rakhnā burī baat hai kyuuñ na phir ibtidā se mohabbat kareñ

    aao pahle sañvāreñ shab-e-ġham ko ham vaqt hogā to ḳhud bhī sañvar jā.eñge

    ye koī baat hai utnī phailī huī zindagī meñ faqat ik tirā intizār

    muntazir to tire ham raheñge magar kaise kaise hamāre safar jā.eñge

    ajnabī-pan lau se nikaltī huī āshnā.ī larzāñ tapish aur ham

    aisā lagtā hai goyā jhijhakte hue dūsre ḳhvāb meñ phir utar jā.eñge

    kār-e-duniyā kareñ kuchh adāvat to ho Tuk tabī.at badalne sūrat to ho

    ham agar ḳhud se laḌte-jhagaḌte rahe zindagī ke anāsir bikhar jā.eñge

    pahle to shahr meñ itne raste na the itnī galiyāñ na thiiñ moḌ itne na the

    ham akele khaḌe haiñ pareshān haiñ aur aage baḌhe to kidhar jā.eñge

    phir achānak ham umr ke nā-tavāñ haath meñ aa.ina dekh kar ro paḌe

    aaj tak bas yahī soch kar ḳhush rahe vo bulā.egā ham us ke ghar jā.eñge

    tere gham ka tadaruk kiya to hamein sharm aa jaegi aur mar jaenge

    KHwab-awar dawa hum ne le li to phir nind ke kizb se zaKHm bhar jaenge

    saaten be-sabaati ki aulad hain aur sayyaad hain is liye aao hum

    waqt ko toD den warna sab kaam ki raaten Dhal jaengi din guzar jaenge

    tum yunhi ishq ke zor par KHud ko rakkhe raho aur hanste sanwarte raho

    dekhna ek din hum kisi moD par apne ham-zad ko zer kar jaenge

    ranjishen dil mein rakhna buri baat hai kyun na phir ibtida se mohabbat karen

    aao pahle sanwaren shab-e-gham ko hum waqt hoga to KHud bhi sanwar jaenge

    ye koi baat hai utni phaili hui zindagi mein faqat ek tera intizar

    muntazir to tere hum rahenge magar kaise kaise hamare safar jaenge

    ajnabi-pan ki lau se nikalti hui aashnai ki larzan tapish aur hum

    aisa lagta hai goya jhijhakte hue dusre KHwab mein phir utar jaenge

    kar-e-duniya karen kuchh adawat to ho Tuk tabiat badalne ki surat to ho

    hum agar KHud se laDte-jhagaDte rahe zindagi ke anasir bikhar jaenge

    pahle to shahr mein itne raste na the itni galiyan na thin moD itne na the

    hum akele khaDe hain pareshan hain aur aage baDhe to kidhar jaenge

    phir achanak hi hum umr ke na-tawan hath mein aaina dekh kar ro paDe

    aaj tak bas yahi soch kar KHush rahe wo bulaega hum us ke ghar jaenge

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now