Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

tere hasin jism ki phulon mein boss hai

Kaif Ansari

tere hasin jism ki phulon mein boss hai

Kaif Ansari

MORE BYKaif Ansari

    tere hasīn jism phūloñ meñ boss hai

    go vahm hai ye vahm qarīn-e-qayās hai

    vo ashk jis pe chāñdnī-shab libās hai

    shāyad kitāb-e-ġham koī iqtibās hai

    merī tarah har ik ko hai chāhat usī phir

    guzre dinoñ ke zahr meñ kitnī miThās hai

    barsoñ guzar ga.e magar ab tak nahīñ bujhī

    kitnī 'ajīb ret ke sāhil pyaas hai

    merī sadā khich is tarah aa.ī hai lauT kar

    mahsūs ho rahā hai koī ās-pās hai

    būñdeñ paḌeñ to aur ziyāda huī tapish

    shāyad isī naam zamīñ bhaḌās hai

    apne gharoñ meñ ḳhush haiñ charāġhoñ ko le ke log

    kis ko ḳhabar ki raat chehra udaas hai

    dhuñdlā zard maazī ho jis tarah varaq

    kitnā hasīn aap rañg-e-libās hai

    kis vaqt 'kaif' TuuT ke gir jaa.e kyā ḳhabar

    palkoñ pe ek halqa-e-zanjīr-e-yās hai

    tere hasin jism ki phulon mein boss hai

    go wahm hai ye wahm qarin-e-qayas hai

    wo ashk jis pe chandni-shab ka libas hai

    shayad kitab-e-gham ka koi iqtibas hai

    meri tarah har ek ko hai chahat usi ki phir

    guzre dinon ke zahr mein kitni miThas hai

    barson guzar gae magar ab tak nahin bujhi

    kitni 'ajib ret ke sahil ki pyas hai

    meri sada khich is tarah aai hai lauT kar

    mahsus ho raha hai koi aas-pas hai

    bunden paDen to aur ziyaada hui tapish

    shayad isi ka nam zamin ki bhaDas hai

    apne gharon mein KHush hain charaghon ko le ke log

    kis ko KHabar ki raat ka chehra udas hai

    dhundla sa zard mazi ka ho jis tarah waraq

    kitna hasin aap ka rang-e-libas hai

    kis waqt 'kaif' TuT ke gir jae kya KHabar

    palkon pe ek halqa-e-zanjir-e-yas hai

    Source:

    auraq salnama magazines (Pg. 520)

    • Author: Wazir Agha,Arif Abdul Mateen
      • Edition: 1967
      • Publisher: Daftar Mahnama Auraq Lahore
      • Year of Publication: 1967
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now