Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

tere pyason ko saza di gai hai

Aadil Farhat

tere pyason ko saza di gai hai

Aadil Farhat

MORE BYAadil Farhat

    tere pyāsoñ ko sazā ga.ī hai

    tishnagī aur baḌhā ga.ī hai

    us ke aane ḳhabar aate

    shahr ko aag lagā ga.ī hai

    qaid hone duā māñgī thī

    merī zanjīr haTā ga.ī hai

    tum mujhe dekhne se qāsir the

    raushnī aur baḌhā ga.ī hai

    ek panchhī ko kisī piñjre meñ

    uḌte rahne duā ga.ī hai

    ḳhud-kushī ke to nishāñ baaqī nahīñ

    ret sāhil se haTā ga.ī hai

    maiñ to sajde meñ paḌā thā lekin

    mujh pe talvār girā ga.ī hai

    tere pyason ko saza di gai hai

    tishnagi aur baDha di gai hai

    us ke aane ki KHabar aate hi

    shahr ko aag laga di gai hai

    qaid hone ki dua mangi thi

    meri zanjir haTa di gai hai

    tum mujhe dekhne se qasir the

    raushni aur baDha di gai hai

    ek panchhi ko kisi pinjre mein

    uDte rahne ki dua di gai hai

    KHud-kushi ke to nishan baqi nahin

    ret sahil se haTa di gai hai

    main to sajde mein paDa tha lekin

    mujh pe talwar gira di gai hai

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now