Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

teri aankhon ki kaifiyyat ko maiKHane se kya nisbat

Inamullah Khan Yaqeen

teri aankhon ki kaifiyyat ko maiKHane se kya nisbat

Inamullah Khan Yaqeen

MORE BYInamullah Khan Yaqeen

    terī āñkhoñ kaifiyyat ko maiḳhāne se kyā nisbat

    nigah gardishoñ ko daur paimāne se kyā nisbat

    ye jiive hijr meñ vo vasl meñ bhī nahīñ saktā

    takalluf-bar-taraf bulbul ko parvāne se kyā nisbat

    ye vo motī haiñ jin sīpiyāñ āñkheñ haiñ āshiq

    mire aañsū ko marvārīd ke daane se kyā nisbat

    are dil mat tavaqqo.a dilbaroñ se rakh tarahhum

    lahū piite haiñ jo shaḳhs un ko ġham khāne se kyā nisbat

    gul us daaġh hai aur sarv us āh-e-mauzūñ hai

    'yaqīñ' se nauhagar ko baaġh meñ jaane se kyā nisbat

    teri aankhon ki kaifiyyat ko maiKHane se kya nisbat

    nigah ki gardishon ko daur paimane se kya nisbat

    ye jiwe hijr mein wo wasl mein bhi ji nahin sakta

    takalluf-bar-taraf bulbul ko parwane se kya nisbat

    ye wo moti hain jin ki sipiyan aankhen hain aashiq ki

    mere aansu ko marwarid ke dane se kya nisbat

    are dil mat tawaqqoa dilbaron se rakh tarahhum ki

    lahu pite hain jo shaKHs un ko gham khane se kya nisbat

    gul us ka dagh hai aur sarw us ka aah-e-mauzun hai

    'yaqin' se nauhagar ko bagh mein jaane se kya nisbat

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now