Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

teri aankhon pe ghane KHwabon ka pahra hun main

Sultan Subhani

teri aankhon pe ghane KHwabon ka pahra hun main

Sultan Subhani

MORE BYSultan Subhani

    terī āñkhoñ pe ghane ḳhvāboñ pahra huuñ maiñ

    is ta.alluq se kis darja sunahrā huuñ maiñ

    log kyuuñ ghuur ke sachchā.ī mujhe dekhte haiñ

    aisā lagtā hai ki jaise tirā chehra huuñ maiñ

    ḳhud ko kho doge mirī tah talak aate aate

    lafz huuñ lafz samundar se bhī gahrā huuñ maiñ

    udhar ḳhat mirā paḌhtī hai to lagtā hai mujhe

    terī āñkhoñ ke hasīñ shahr meñ Thahrā huuñ maiñ

    ek patthar huuñ agar tujh se kahīñ duur huuñ

    tujh se chhū jā.ūñ to sad-ḳhushbū lahrā huuñ maiñ

    teri aankhon pe ghane KHwabon ka pahra hun main

    is talluq se hi kis darja sunahra hun main

    log kyun ghur ke sachchai mujhe dekhte hain

    aisa lagta hai ki jaise tera chehra hun main

    KHud ko kho doge meri tah talak aate aate

    lafz hun lafz samundar se bhi gahra hun main

    tu udhar KHat mera paDhti hai to lagta hai mujhe

    teri aankhon ke hasin shahr mein Thahra hun main

    ek patthar hun agar tujh se kahin dur hun

    tujh se chhu jaun to sad-KHushbu ka lahra hun main

    Source :
    • Book : Hukm Nama (Pg. 24)
    • Author : Sultan Subhani
    • Publication : Sardar Art Press Malegaon (1985)
    • Edition : 1985
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now