Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

teri duniya ye tere guman o yaqin ya-aKHi

Mohammad Asif Nazeer

teri duniya ye tere guman o yaqin ya-aKHi

Mohammad Asif Nazeer

MORE BYMohammad Asif Nazeer

    terī duniyā ye tere gumān o yaqīñ yā-aḳhī

    vāhime ke sivā aur kuchh bhī nahīñ yā-aḳhī

    ek bad-shakl aarzū ke sivā kuchh na thā

    ham samajhte rahe jis ko sab se hasīñ yā-aḳhī

    baas taaza lahū havāoñ meñ hai chār-sū

    ḳhud ko dekhūñ ki dekhūñ tirī āstīñ yā-aḳhī

    murshidī aap ke āstāne kyā baat hai

    milte haiñ is jagah āsmān-o-zamīñ yā-aḳhī

    irtikāz-e-tavajjoh se kab hote haiñ mo.ajize

    habs-e-dam to husn-e-tasavvuf nahīñ yā-aḳhī

    jurm ye hai ki ḳhurshīd ke ḳhānvāde se huuñ

    mujh se ḳhā.if haiñ kyoñ aap ke jā-nashīñ yā-aḳhī

    zindagī misl-e-sha'ab-e-abī-tālib 'āsif' hai

    bā-ḳhudā sāzishoñ ke sabab bil-yaqīñ yā-aḳhī

    teri duniya ye tere guman o yaqin ya-aKHi

    wahime ke siwa aur kuchh bhi nahin ya-aKHi

    ek bad-shakl si aarzu ke siwa kuchh na tha

    hum samajhte rahe jis ko sab se hasin ya-aKHi

    bas taza lahu ki hawaon mein hai chaar-su

    KHud ko dekhun ki dekhun teri aastin ya-aKHi

    murshidi aap ke aastane ki kya baat hai

    milte hain is jagah aasman-o-zamin ya-aKHi

    irtikaz-e-tawajjoh se kab hote hain moajize

    habs-e-dam hi to husn-e-tasawwuf nahin ya-aKHi

    jurm ye hai ki KHurshid ke KHanwade se hun

    mujh se KHaif hain kyon aap ke ja-nashin ya-aKHi

    zindagi misl-e-sha'ab-e-abi-talib 'asif' ki hai

    ba-KHuda sazishon ke sabab bil-yaqin ya-aKHi

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now