Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

teri giraft mein aae na KHud ke bas mein rahe

Aliuddeen Naved

teri giraft mein aae na KHud ke bas mein rahe

Aliuddeen Naved

MORE BYAliuddeen Naved

    terī giraft meñ aa.e na ḳhud ke bas meñ rahe

    ham abr ban ke havāoñ dastaras meñ rahe

    vo kaun log the sahrā meñ jin ko phuul mile

    chaman meñ rah ke bhī ham log ḳhār-o-ḳhas meñ rahe

    hamārī sāda-mizājī ham ko le Duubī

    ham āsmān the lekin zamīñ ke bas meñ rahe

    vo qāfile jo kahīñ dasht-e-shab meñ dafn hue

    sahar huī bhī to āvāza-e-jaras meñ rahe

    bujhe to kaise bujhe pyaas jism-o-jāñ 'naved'

    ki chand ghūñT paimāna-e-havas meñ rahe

    teri giraft mein aae na KHud ke bas mein rahe

    hum abr ban ke hawaon ki dastaras mein rahe

    wo kaun log the sahra mein jin ko phul mile

    chaman mein rah ke bhi hum log KHar-o-KHas mein rahe

    hamari sada-mizaji hi hum ko le Dubi

    hum aasman the lekin zamin ke bas mein rahe

    wo qafile jo kahin dasht-e-shab mein dafn hue

    sahar hui bhi to aawaza-e-jaras mein rahe

    bujhe to kaise bujhe pyas jism-o-jaan ki 'nawed'

    ki chand ghunT hi paimana-e-hawas mein rahe

    Source:

    (Pg. 46)

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now