teri jafa ka gham hai magar itna gham nahin
terī jafā kā ġham hai magar itnā ġham nahīñ
mar jaa.eñ tere vāste pāgal to ham nahīñ
'ishq-o-junūñ meñ hausla majnūñ se kam nahīñ
sahrā kī musht-e-ḳhāk se ghabrāte ham nahīñ
dast-e-raqīb meñ diye us ne badan ke ḳham
chhū paa.e ham to reshmī zulfoñ ke ḳham nahīñ
āñkhoñ meñ bhar ke laayā thā manzar jo des ke
pardes ke ḳharāboñ meñ jannat se kam nahīñ
chakkhī hai us ne jab se mire 'ishq kī miThās
amrat sā ab zabāñ meñ hai pahle sā sam nahīñ
nafrat daġhā fareb jafā āshnā.iyāñ
kyā kyā sitam-shi'ār ne toḌe sitam nahīñ
likkheñge she'r she'r meñ jurm-e-jafā tirā
dil hai do-laḳht haath hamāre qalam nahīñ
ḳhanjar jafā kā siine meñ mere utaar kar
aayā zarā bhī chashm-e-sitamgar meñ nam nahīñ
jaur-o-jafā 'sahāb' pe Dhaa.e vo roz-o-shab
bhūle se bhī 'ināyat-e-lutf-o-karam nahīñ
teri jafa ka gham hai magar itna gham nahin
mar jaen tere waste pagal to hum nahin
'ishq-o-junun mein hausla majnun se kam nahin
sahra ki musht-e-KHak se ghabraate hum nahin
dast-e-raqib mein diye us ne badan ke KHam
chhu pae hum to reshmi zulfon ke KHam nahin
aankhon mein bhar ke laya tha manzar jo des ke
pardes ke KHarabon mein jannat se kam nahin
chakkhi hai us ne jab se mere 'ishq ki miThas
amrat sa ab zaban mein hai pahle sa sam nahin
nafrat dagha fareb jafa aashnaiyan
kya kya sitam-shi'ar ne toDe sitam nahin
likkhenge she'r she'r mein jurm-e-jafa tera
dil hai do-laKHt hath hamare qalam nahin
KHanjar jafa ka sine mein mere utar kar
aaya zara bhi chashm-e-sitamgar mein nam nahin
jaur-o-jafa 'sahab' pe Dhae wo roz-o-shab
bhule se bhi 'inayat-e-lutf-o-karam nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.