Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

teri misal aankhon mein tamsil ho gai

Tasneem Hasan

teri misal aankhon mein tamsil ho gai

Tasneem Hasan

MORE BYTasneem Hasan

    terī misāl āñkhoñ meñ tamsīl ho ga.ī

    dhaḌkan hazār rangoñ meñ tabdīl ho ga.ī

    terī nazar chhāñv to bādal se kam na thī

    phailī mirī zamīn pe maiñ jhiil ho ga.ī

    kaisī badan qurbateñ aur kaisī chāh-e-vasl

    jab ruuh terī ruuh meñ tahlīl ho ga.ī

    chūmā jo us ne haath to mahsūs yuuñ huā

    taqdīr-e-zindagī tirī takmīl ho ga.ī

    nok-e-qalam pe āḳhirī qatra lahū thā

    Tapkā to merī zaat tashkīl ho ga.ī

    sab nazar meñ aaj nihāyat sharīf huuñ

    had se ziyāda merī jo tazlīl ho ga.ī

    ghar merā mere bachchoñ pahchān ban gayā

    har riit aur rasm tabdīl ho ga.ī

    teri misal aankhon mein tamsil ho gai

    dhaDkan hazar rangon mein tabdil ho gai

    teri nazar ki chhanw to baadal se kam na thi

    phaili meri zamin pe main jhil ho gai

    kaisi badan ki qurbaten aur kaisi chah-e-wasl

    jab ruh teri ruh mein tahlil ho gai

    chuma jo us ne hath to mahsus yun hua

    taqdir-e-zindagi teri takmil ho gai

    nok-e-qalam pe aaKHiri qatra lahu ka tha

    Tapka to meri zat ki tashkil ho gai

    sab ki nazar mein aaj nihayat sharif hun

    had se ziyaada meri jo tazlil ho gai

    ghar mera mere bachchon ki pahchan ban gaya

    har rit aur rasm hi tabdil ho gai

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now