Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

teri nazar mein aalam meri nazar mein tu hai

Ashraf Baqri

teri nazar mein aalam meri nazar mein tu hai

Ashraf Baqri

MORE BYAshraf Baqri

    terī nazar meñ aalam merī nazar meñ hai

    ik dil ke haath meñ ab ik dil aabrū hai

    fitrat rañg le kar phirtī jo chār-sū hai

    ik be-gunāh dil ma.asūm aarzū hai

    pazhmurda gul chaman kaliyoñ se kah rahā hai

    phūloñ ḳhush-numā.ī ik rāz-e-rañg-o-bū hai

    jab had se baḌh ga.ī kuchh har had mirī ḳhushī

    maiñ ne samajh liyā ki ab ḳhatm aarzū hai

    hoñToñ ko ho na jumbish vo sab samajh rahe hoñ

    ye shān-e-guftugū bhī ik shān-e-guftugū hai

    mujh se suno junūñ aur bechārgī matlab

    phūloñ chaah karnā kāñToñ aarzū hai

    kaun hai jo be-qarār hai tere baġhair 'ashraf'

    manzil ko dekh shāyad ab terī justujū hai

    teri nazar mein aalam meri nazar mein tu hai

    ek dil ke hath mein ab ek dil ki aabru hai

    fitrat ka rang le kar phirti jo chaar-su hai

    ek be-gunah dil ki masum aarzu hai

    pazhmurda gul chaman ka kaliyon se kah raha hai

    phulon ki KHush-numai ek raaz-e-rang-o-bu hai

    jab had se baDh gai kuchh har had meri KHushi ki

    main ne samajh liya ki ab KHatm aarzu hai

    honTon ko ho na jumbish wo sab samajh rahe hon

    ye shan-e-guftugu bhi ek shan-e-guftugu hai

    mujh se suno junun aur bechaargi ka matlab

    phulon ki chah karna kanTon ki aarzu hai

    kaun hai jo be-qarar hai tere baghair 'ashraf'

    manzil ko dekh shayad ab teri justuju hai

    Source:

    Kharashein (Pg. 24)

    • Author: Ashraf Baqri
      • Publisher: Ashraf Baqri
      • Year of Publication: 1997
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now