teri nigah se tujhko KHabar hai ki kya hua
terī nigah se tujh ko ḳhabar hai ki kyā huā
dil zindagī se bār-e-digar āshnā huā
ik ik qadam pe us ke huā sajda-rez maiñ
guzrā thā jis jahāñ ko kabhī rauñdtā huā
dekhā tujhe to ārzūoñ kā hujūm thā
paayā tujhe to kuchh na thā baaqī rahā huā
dasht-e-junūñ meñ reg-e-ravāñ se ḳhabar milī
phirtā rahā hai tū bhī mujhe DhūñDhtā huā
ehsās-e-nau ne ziist kā naqsha badal diyā
mahrūmiyoñ kā yuuñ to chaman hai khilā huā
chamkā hai ban ke sarv-e-charāġhāñ tamām umr
kyā āñsuoñ kā taar thā tujh se bañdhā huā
bikhre haiñ zindagī ke kuchh is tarah tār-o-pūd
har zarra apne-āp meñ mahshar-numā huā
pūchho to ek ek hai tanhā sulag rahā
dekho to shahr shahr hai mela lagā huā
parda uThā sako to jigar tak gudāz hai
chāho ki ḳhud ho yuuñ to hai patthar paḌā huā
insān-dostī ke taqāzoñ kā silsila
insān-dushmanī kī hadoñ se milā huā
aqdār ke fareb meñ ab aa chukā 'nazar'
kashtī Dubo gayā jo ḳhudā, nāḳhudā huā
teri nigah se tujh ko KHabar hai ki kya hua
dil zindagi se bar-e-digar aashna hua
ek ek qadam pe us ke hua sajda-rez main
guzra tha jis jahan ko kabhi raundta hua
dekha tujhe to aarzuon ka hujum tha
paya tujhe to kuchh na tha baqi raha hua
dasht-e-junun mein reg-e-rawan se KHabar mili
phirta raha hai tu bhi mujhe DhunDhta hua
ehsas-e-nau ne zist ka naqsha badal diya
mahrumiyon ka yun to chaman hai khila hua
chamka hai ban ke sarw-e-charaghan tamam umr
kya aansuon ka tar tha tujh se bandha hua
bikhre hain zindagi ke kuchh is tarah tar-o-pud
har zarra apne-ap mein mahshar-numa hua
puchho to ek ek hai tanha sulag raha
dekho to shahr shahr hai mela laga hua
parda uTha sako to jigar tak gudaz hai
chaho ki KHud ho yun to hai patthar paDa hua
insan-dosti ke taqazon ka silsila
insan-dushmani ki hadon se mila hua
aqdar ke fareb mein ab aa chuka 'nazar'
kashti Dubo gaya jo KHuda, naKHuda hua
- Book : Range-e-Gazal (Pg. 309)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.