Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

teri rahmat se achanak dur ho jaun na main

Anuj Nagendra

teri rahmat se achanak dur ho jaun na main

Anuj Nagendra

MORE BYAnuj Nagendra

    terī rahmat se achānak duur ho jā.ūñ na maiñ

    ek mālik se kahīñ mazdūr ho jā.ūñ na maiñ

    mere mālik ek chhoTī duā kar le qubūl

    rahmateñ kar tirī maġhrūr ho jā.ūñ na maiñ

    jhilmilātā diyā huuñ ḳhauf hai dil meñ to bas

    dekhte dekhte be-nūr ho jā.ūñ na maiñ

    is qadar imtihān-e-sabr mat le ab mirā

    dar se uThne ke liye majbūr ho jā.ūñ na maiñ

    us se milne dobāra is liye koshish na

    us ke hāthoñ phir kahīñ ranjūr ho jā.ūñ na maiñ

    us ne jab pardā haTāyā pher maiñ ne nigāh

    is liye ki jal ke koh-e-tūr ho jā.ūñ na maiñ

    aa.ina mujh ko banāyā hai to rakh mahfūz bhī

    pattharoñ zad meñ aakar chuur ho jā.ūñ na maiñ

    teri rahmat se achanak dur ho jaun na main

    ek malik se kahin mazdur ho jaun na main

    mere malik ek chhoTi si dua kar le qubul

    rahmaten pa kar teri maghrur ho jaun na main

    jhilmilata sa diya hun KHauf hai dil mein to bas

    dekhte hi dekhte be-nur ho jaun na main

    is qadar tu imtihan-e-sabr mat le ab mera

    dar se uThne ke liye majbur ho jaun na main

    us se milne ki dobara is liye koshish na ki

    us ke hathon phir kahin ranjur ho jaun na main

    us ne jab parda haTaya pher li main ne nigah

    is liye ki jal ke koh-e-tur ho jaun na main

    aaina mujh ko banaya hai to rakh mahfuz bhi

    pattharon ki zad mein aakar chur ho jaun na main

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now