Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

teri ruh mein sannaTa hai aur meri aawaz mein chup

Abbas Tabish

teri ruh mein sannaTa hai aur meri aawaz mein chup

Abbas Tabish

MORE BYAbbas Tabish

    terī ruuh meñ sannāTā hai aur mirī āvāz meñ chup

    apne andāz meñ chup hai maiñ apne andāz meñ chup

    gaahe gaahe sāñsoñ āvāz sunā.ī detī hai

    gaahe gaahe baj uThtī hai dil ke shikasta-sāz meñ chup

    sannāTe ke zahr meñ bujhte logoñ ko ye kaun batā.e

    jitnā ūñchā bol rahe haiñ utnī hai āvāz meñ chup

    ik muddat se ḳhushk paḌā hai vo jharnā añgḌā.ī

    jaane kis ne bhar hai us paikar-e-naġhma-sāz meñ chup

    rag rag meñ jab ḳhuun būñdeñ bulbul ban kar chahak uThīñ

    phir dil-e-'hāfiz' kyuuñ kar sādhe siine ke shīrāz meñ chup

    teri ruh mein sannaTa hai aur meri aawaz mein chup

    tu apne andaz mein chup hai main apne andaz mein chup

    gahe gahe sanson ki aawaz sunai deti hai

    gahe gahe baj uThti hai dil ke shikasta-saz mein chup

    sannaTe ke zahr mein bujhte logon ko ye kaun batae

    jitna uncha bol rahe hain utni hai aawaz mein chup

    ek muddat se KHushk paDa hai wo jharna angDai ka

    jaane kis ne bhar di hai us paikar-e-naghma-saz mein chup

    rag rag mein jab KHun ki bunden bulbul ban kar chahak uThin

    phir dil-e-'hafiz' kyun kar sadhe sine ke shiraaz mein chup

    Source:

    Ishq Abaab (Pg. 146)

    • Author: Abbas Tabish
      • Edition: 2011
      • Year of Publication: 2011
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now