Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

teri surat jo dil-nashin ki hai

Faiz Ahmad Faiz

teri surat jo dil-nashin ki hai

Faiz Ahmad Faiz

MORE BYFaiz Ahmad Faiz

    terī sūrat jo dil-nashīñ hai

    āshnā shakl har hasīñ hai

    husn se dil lagā ke hastī

    har ghaḌī ham ne ātishīñ hai

    sub.h-e-gul ho ki shām-e-mai-ḳhāna

    mad.h us rū-e-nāznīñ hai

    shaiḳh se be-hirās milte haiñ

    ham ne tauba abhī nahīñ hai

    zikr-e-dozaḳh bayān-e-hūr o qusūr

    baat goyā yahīñ kahīñ hai

    ashk to kuchh bhī rañg na sake

    ḳhuuñ se tar aaj āstīñ hai

    kaise māneñ haram ke sahl-pasand

    rasm jo āshiqoñ ke diiñ hai

    'faiz' auj-e-ḳhayāl se ham ne

    āsmāñ sindh zamīñ hai

    teri surat jo dil-nashin ki hai

    aashna shakl har hasin ki hai

    husn se dil laga ke hasti ki

    har ghaDi hum ne aatishin ki hai

    subh-e-gul ho ki sham-e-mai-KHana

    madh us ru-e-naznin ki hai

    shaiKH se be-hiras milte hain

    hum ne tauba abhi nahin ki hai

    zikr-e-dozaKH bayan-e-hur o qusur

    baat goya yahin kahin ki hai

    ashk to kuchh bhi rang la na sake

    KHun se tar aaj aastin ki hai

    kaise manen haram ke sahl-pasand

    rasm jo aashiqon ke din ki hai

    'faiz' auj-e-KHayal se hum ne

    aasman sindh ki zamin ki hai

    Videos
    This video is playing from YouTube

    Videos
    This video is playing from YouTube

    Unknown

    Unknown

    RECITATIONS

    Faiz Ahmad Faiz

    Faiz Ahmad Faiz,

    Faiz Ahmad Faiz

    teri surat jo dil-nashin ki hai Faiz Ahmad Faiz

    Source:

    Nuskha Hai Wafa (Pg. 177)

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now