Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

teri wafa ki haqiqat main aazma na saka

Naseem Muzaffarpuri

teri wafa ki haqiqat main aazma na saka

Naseem Muzaffarpuri

MORE BYNaseem Muzaffarpuri

    terī vafā haqīqat maiñ aazmā na sakā

    bahut qarīb bhī rah kar maiñ tujh ko na sakā

    paḌhī jo phone har samt reñgtī tahrīr

    maiñ is ke baad kisī tarah muskurā na sakā

    tire sulūk pe shikva nahīñ hai koī mujhe

    maiñ ḳhud apnī tamannāoñ ko dabā na sakā

    tire karam meñ kamī ho kuchh aisī baat na thī

    tire ḳhulūs maiñ baar uThā na sakā

    bahut ḳhulūs thā har chand merī bātoñ meñ

    vo apne tanz nashtar magar chhupā na sakā

    teri wafa ki haqiqat main aazma na saka

    bahut qarib bhi rah kar main tujh ko pa na saka

    paDhi jo phone ki har samt rengti tahrir

    main is ke baad kisi tarah muskura na saka

    tere suluk pe shikwa nahin hai koi mujhe

    main KHud hi apni tamannaon ko daba na saka

    tere karam mein kami ho kuchh aisi baat na thi

    tere KHulus ka main bar hi uTha na saka

    bahut KHulus tha har chand meri baaton mein

    wo apne tanz ka nashtar magar chhupa na saka

    Source:

    Girdab (Pg. 18)

    • Author: Naseem Muzaffarpuri
      • Publisher: Nikhar Publications, Maunath Bhanjan
      • Year of Publication: 1982
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now