Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

teri zimmadariyon se bhagna mumkin nahin

Sujit Sahgal Haasil

teri zimmadariyon se bhagna mumkin nahin

Sujit Sahgal Haasil

MORE BYSujit Sahgal Haasil

    terī zimmadāriyoñ se bhāgnā mumkin nahīñ

    tujh meñ maiñ mujh meñ ye jānñā mumkin nahīñ

    dil ke darvāze pe us ke dastakeñ dete raho

    kaise rahtā hai vo phir nā-āshnā mumkin nahīñ

    ho ga.ī hai kaisī duniyā dekh mere dost aaj

    hai parāyā kaun apnā jānñā mumkin nahīñ

    kitnī bhī paḌh lo kitābeñ kitne bhī da.ave karo

    phir bhī is duniyā meñ sab kuchh jānñā mumkin nahīñ

    maiñ ne kar liiñ itnī ūñchī ghar dīvāreñ ki ab

    aise vaisoñ mire ghar jhāñknā mumkin nahīñ

    kaun kahtā hai ki maz.hab ne laḌāyā hai hameñ

    aur tum kuchh bhī kaho ye jānñā mumkin nahīñ

    is qadar tum gir ga.e apnī nazroñ se 'sujīt'

    kah rahe ho aa.ine sāmnā mumkin nahīñ

    teri zimmadariyon se bhagna mumkin nahin

    tujh mein main ya mujh mein tu ye jaanna mumkin nahin

    dil ke darwaze pe us ke dastaken dete raho

    kaise rahta hai wo phir na-ashna mumkin nahin

    ho gai hai kaisi duniya dekh mere dost aaj

    hai paraya kaun apna jaanna mumkin nahin

    kitni bhi paDh lo kitaben kitne bhi dawe karo

    phir bhi is duniya mein sab kuchh jaanna mumkin nahin

    main ne kar lin itni unchi ghar ki diwaren ki ab

    aise waison ka mere ghar jhankna mumkin nahin

    kaun kahta hai ki mazhab ne laDaya hai hamein

    aur tum kuchh bhi kaho ye jaanna mumkin nahin

    is qadar tum gir gae apni hi nazron se 'sujit'

    kah rahe ho aaine ka samna mumkin nahin

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now